free pdf Collection of Islamic Books in Urdu different Islamic Authors own website of Ahadees instantly. Its free and take less then a minute
Mardana Kamzori
Erectile Dysfunction
Mardon ka ahem tareen masla Erectile Dysfunction (mardana kamzori) hai. Erectile dysfunction ko aam tor sey male impotence
kaha jata hai.Iss mein ba'az auqaat to mard ko tana'u hota hi nahin
ba'az afraad ko tana'u to hota hai magar dakhool kay waqt ek dum khatam
ho jata hai aur kuch afraad ka tana'u dakhool kay ba'ad khatam ho jata
hai jis ki wajah sey woh mubashrat ko jari nahin rakh sakta. Agar yeh
masla kuch arsa jari rahey to ba'az intehaee surton mein naujawan pagal
ho jatey hain aur ba'az khudkushi tak kar letey hain iss surat
mein shaadi ka qayem rehna na mumkin nahin to bohut mushkil zaroor hai.
Merey paas kaee aisey cases aaey jahan iss wajah sey alaehdgi ho gaee
sharmindagi ki wajah sey yeh log jald elaj kay liye nahin aatey, amooman yeh log surat e haal kafi bigarrney kay ba'ad aatey hain.
Jab
fard ko kisi bhi waqt tanau hota ho to iss ka masla jismani nahin bul
kay nafsiyati hota hai yeh masla jawani mein taqreeban 100% nafsiyati
hota hai aksar wajah naakami ka khauf aur khud lazzati kay hawaley sey
kamzori ka khauf aur wahem hota hai albatta 40 saal ki umar kay baad
bohut sey logon kay masley ki wajah jismani ho sakti hai. Yeh beemari ya
kisi beemari ki adviyat kay side effects hotey hain.Erectile Dysfunction Treatment
Biwi
agar chahey to woh apney mian ki madad kar kay uss ki izzat, jaan aur
apni shaadi ko bacha sakti hai aaj kal yeh masla 100% qabil e elaj hai
iss kay liye sab sey pehley biwi ko khud mardana kamzori ka elaj
karney ki koshish karni chahiyie. Iss silsiley mein bunyaadi baat yeh
hai kay agar biwi ko aisi surat e haal ka saamna ho to woh kabhi
ghussey, pareshani aur afsos ka izhaar na karey, mian per tunz na karey
bul kay uski hosla afzaee karey usey bataey kay woh bilkul normal hai
aaj nahin to kal woh kamyaab ho jaey ga iss silsiley mein pareshan honay
ki zaroorat nahin iss kaam kay liye saari umar parri hai.
Erectile dysfunction (mardana kamzori) kay hal kay liye biwi mandarja zael tariqey ikhtiyar kar sakti hai.
Mian biwi rozana iss mushq kay liye kuch pursukoon
waqt muqarrar karein behter hai kay yeh mushq raat ko sotey waqt ki jaey
jab donon pursukoon hun biwi mian ko muskuratey huey khush aamdeed
kahey khawand ko ehsaas na honey dey kay usey koi masla hai. Iss muahq
mein biwi fa'aal (active) kirdar ada karey aur pehel karey mian ko
bataey kay humney do haftey mubashrat nahin karni bul kay sirf foreplay
sey lutfandoz hona hai iss sey khawand ka kaarkardagi ka khauf khatam ho
jaey ga. Biwi mian kay jism per hath phaerey, bos o kinar
(kissing) karey, uss kay sath liptey, bhaghal geer ho thori der kay
ba'ad ek doosrey kay kaprey utaarein ya apney apney khud utarein. Ab uss
kay seeney per hath phaerein uss kay nipples ko chumein, unn kay gird
zubaan phaerein, choosein uss kay sath uss kay paet aur raanon per hath
phaerein uss kay hath apney pistaanon per rakhein. Mian inn ko chaerey,
sehlaey, choomey, choosey aap apney pistaanon sey uss kayRozana mushq kay liye aisa waqt taey karein jab donon bohut pursukoon hun sab sey pehley donon ek doosrey sey pyar o mohabbt aur bos o kinar karein peechey bataey gaey tariqey kay mutabiq foreplay kya jaey iss doran a'aaza e makhsoosa ko nahin chuna. Teesrey din foreplay kay doran khawand biwi kay hassas hisson (female genital organs), pistaanon aur a'aaza e makhsoosa ko bhi mushta'el karey. Iss silsiley mein biwi khawnd ka hath pakarr kar uski rehnumaee karey kay woh kis andaz sey biwi kay hassas hisson ko khusoosan bazer ko mushta'el (clitoral stimulation) karey do din yehi mushq kii jaey. Paanchvein din ibteda'ee foreplay kay ba'ad mian biwi kay a'aaza-e-makhsoosa aur pistaanon ko mushta'el karey aur phir biwi mian ko mushta'el karey iss kay liye khawand pusht kay bul laet jaey, ghutney kharey hun aur pao'n bister per hun biwi khawand ki taangon kay darmyan iss tarah bethey kay uski taangein lambi hun jo khawand kay dharr kay donon taraf hun aur mian kay pao'n biwi kay donon taraf koolhon kay baraber hun. Saharey kay liye biwi peechey bister ya deewar kay sath taek laga ley phir biwi mian kay a'aaza-e-makhsoosa ko mushta'el karey zakar aur khusyon waghaera ko. Iss silsiley mein bataey kay iss kay kon sey hissey zyada hassas hain yeh bhi bataey kay zakar ko kitna bhee'nch kar pakrey, kitni sukhti aur kis raftaar sey rugrrein. Iss doran mard apni saari tawajjuh apney jinsi ehsaasaat aur lutf per markooz karey jab tana'u ho jaey to ek doosrey kay baazouo'n mein laet jaein tana'u khatam honay per biwi phir yehi mushq karey jab tana'u honay lagey aur bharpoor tana'u ho to agla qadam mubashrat ka hai. Iss kay liye khawand pusht kay bul laet jaey uski taangein seedhi hun biwi apni taangon per wazan dal kar uss kay ooper bethey pehlay zakar ko mushta'el karney wali mushq
Jinsi Khwahish Ki Kami
Low Libido - Lack Of Sexual Desire
Low Libido - Lack Of Sexual Desire - Reasons
Low Libido Reasons - Lack Of Sexual Desire
Low Libido Reasons - Lack Of Sexual Desire
Iss
maqsad ka hussol jald bhi ho sakta hai aur der ba'ad bhi ta'hum
mustaqil mizaji sey mushq ko jari rakhein agar yeh mushqein aap kay
maqsad kay husool kay liye mufeed sabit na hun to phir kisi achey mahir e
nafsiyat sey baqaeda elaj karaein Allah ney har maslay ka hull paeda
kya hai.
Jinsi Khwahish Ki Kami (Low Libido)
Aam
tor per mian biwi ki jinsi dilchaspi (libido) aur khwahish ek jaisi
nahin hoti bul kay donon mein farq hota hai kahin aurat ki jinsi
khwahish zyada hoti hai aur kahin mard ki waisey yeh sochna aur tasawwur
karna bhi na ma'aqooliyat hai kay do mukhtalif afraad ek jaisi ek jitni
jinsi khwahish rakhtey hun jinsi khwahish
ka ikhtilaaf aam doosrey ikhtilaaf ki tarah hai maslan kisi ko baerooni
sargarmiyan pasand hain to doosrey ko gharelu ek ko football pasand hai
to doosrey ko cricket ta'hum inn ikhtilafaat sey nipatney ka behtreen
tariqa kuch maano aur kuch manwao ka usool hai aur yehi usool mian biwi
ki mukhtalif jinsi khwahishaat kay silsilay mein bhi ikhtiyar karna hoga
ek doosrey kay jinsi jazbaat ka ehtraam karna hoga. Iss surat
mein zindagi bohut khushgawar hogi. 1972 kay ek survey kay mutabiq aam
jorey ausatan haftey mein do baar jinsi amal sey lutf andoz hotey hain
magar umar barhney kay sath iss mein kami aa jati hai.
Magar ba'az auqaay fard ki jinsi khwahishat aur dilchaspi aohut kam ho jati hai aur ba'az ki bilkul hi khatam ho jati haiLow Libido - Lack Of Sexual Desire - Reasons
Ek american survey mein 35% khawateen aur 16% mardon ney sex mein adum
dilchaspi ka izhar kya kuch khawateen ki jinsi khwahish (libido) ahista
ahista khatam hoti hai aur kuch ki ek dum khatam ho jati hai ba'az
khawateen ko kisi moqa per khwahish hoti hai aur kisi doosrey moqa per
nahin hoti iss ki wajah janney kay liye record rakhein aur
baghor jaeza lein kay kab khwahish hoti hai aur kab nahin hoti amooman
aisa ho sakta hai kay jab aap relax hun to khwahish ho magar jab tense
hun to adum dilchaspi ka shikaar ho jaein ba'az auqaat jora kisi wajah
sey sex tark kar deta hai maslan beemari, laraee jhagrey, zehni dabau
aur muashi pareshani waghaera yeh bhi khwahish mein
kami ka sabab ban saktey hain. Ba'az auqaat sex ko doobara shuru karna
mushkil ho jata hai jab lamba arsa sex na ki jaey to isey dobara shuru
karna zara mushkil ho jata hai. Hum aap ko batein gey kay aap kis tarah
apni jinsi dilchaspiyon ko bahaal kar saktey hain magar iss sey pehley
jinsi khwahish ki kami (low libido) ki wajoohaat ko janna hoga.
Jinsi Khwahish Ki Kami Ki Wajoohaat (Low Libido Reasons)
Iss masley ki wajoohaat nafsiyati kay elawa jismani bhi ho sakti hain
mahireen kay khayal kay mutabiq jismani ya medical wajoohaat 10% ta 20%
ho sakti hain jab kay zyada ter wajoohaat nafsiyati hoti hain ahem
wajoohaat darj zael hain:
- Manfi Jinsi Ta'aleem o Tarbiyat (negative sexual training)
Low Libido Reasons - Lack Of Sexual Desire
2. Mubashrat Mehramaat (incestous experience)
Ba'az
auqaat larkiyan bachpan mein qareebi azizon maslan chacha, maamoon,
bhai hatta kay walid waghaera ki jinsi zyadti ka nishana ban jati hain
phir shadeed ehsaas-e-gunah ki wajah se bachiyan sex mein dilchaspi kho
deti hain.
3. Zina biljabr
Zina
biljabr jinsi dilchaspi mein kami ki ek ahem wajah hai waqe'aa guzarney
kay mahinon, ba'az auqaat saalo'n ba'ad bhi fard khauf ka shikar hota
hai phir shaadi kay ba'ad ju'nhi jinsi amal honey lagta hai to wahi
khauf jinsi khwahish ko kam kar deta hai.
4. Zehni Daba'u Aur Thakawat (stress and fatigue)
Jinsi khwahish mein kami ki ek bari
wajah kaam ka daba'u hai kaam dafter ka ho ya ghar ka ya bachin ki
zimme daariyan iss tarah thakawat ki wajah se bhi jinsi khwahish kam ho
jati hai aisi surat mein amooman chuttiyon mein yeh khwahish barh jati hai.
5. Boriyat (boredome)
Ek
survey mein kuch khawateen ne bataya keh shaadi kay ibteda'ee dino'n
mein unki jinsi khwahish bohut zyada thi magar ek do saal ba'd kam ho
gaee ek aadh saal ba'ad sex routine ban jati hai hatta kay ek pasandeeda
dish bhi roz kha kar boriyat ho jati hai.
6. Jazbaati Sadma (emotional trauma)
Ba'az auqaat khawand kay kisi aur aurat se ta'alluqaat qayem ho jatey hain ju'nhi biwi ko ilm hota hai to uski jinsiLow Libido Reasons - Lack Of Sexual Desire
Dilchaspi
aur khwahish khatam ho jati hai iss tarah bachey ki paeda'esh,
mulazimat ka khatima, kisi qareebi aziz maslan walaeden aur behen bhai
ki wafat kay ba'ad amooman jinsi khwahishat kam ho jati hain. Ba'az
beemariyon ki wajah sey aurat ka pistaan kaat diya jata hai ya rahem
nikal diya jata hai yeh aurat kay liye ek sadma hai jo iss kay jinsi
jazbaat ko manfi tor per muta'assir karta hai.
7. Mian Biwi Kay Kharab Ta'alluqaat (relationship problems)
Mian
biwi kay aapas kay ta'alluqaat joray ki jinsi zindagi per asar andaz
hotey hain agar aap ki jinsi khwahish mein kami ho chuki hai magar aap
doosrey logon ko dekh kar jinsi tor per mushta'el hoti hain, inko dekh
kar romantic mehsoos karti hain to
aap kay masley ki wajah ba'hmi ta'alluqaat ki kharabi hai. Dil mein ek
doosrey kay khilaf ghussa, ek doosrey per ilzam tarashi waghaera
bharpoor jinsi ta'alluqaat mein bohut bari rukawat hain, thori bohut tuu takar to har ghar mein hoti hai magar jab yeh zyada ho jaey ya mustaqil surat ikhtiyar kar ley to phir iss tarah kay masa'el paeda ho jatey hain.
8. Jinsi Adum Itmenan (lack of sexual satisfaction)
Agar aap jinsi tor per apney khawand sey khush nahin
to aap ki jinsi khwahish mein kami ki wajah yehi adum itmenan hai.
Humeray haan khawateen ki jinsi khwahish mein kami ki sab sey bari wajah aurat ka jinsi adum itmenan hai. Jinsi itmenan hasil karney kay
chund makhsoos tareqey hain agar khawand inn sey aagaah ho to adum
itmenan ka masla paeda nahin hota. Humaray haan mard aur aurat donon inn
tareeqon sey aagaah nahin jis ki wajah sey na khawand biwi ko mutma'en
kar pata hai aur na biwi khud apney aap ko sukoon dey sakti hai. Jinsi Sardmehri
iss surat mein agar aap ney bharpoor koshish na ki to phir shayad kabhi mubashrat na ho sakey.
Jab bhi koi cheez jinsi lazzat kay liye faraj mein dakhil ki jaey gi to aurat per ghusl e janabat
lazim ho jaega. Agar jinsi lazzat kay baghaer elaj waghaera kay liye
koi cheez maslan ungli faraj mein daakhil ki jaegi to ghusl wajib na
hoga magar ba'az fuqha'a ki ra'ey mein jab bhi koi cheez faraj mein
daakhil ki jaegi uska maqsad jinsi lazzat ho ya elaj, ghusl zarori ho
jata hai ehtiyaat ka taqaza yehi hai kay iss mushq kay ba'ad ghusl kar
liya jaey.
Jinsi Sardmehri
(Frigidity)
Khwateen kay jinsi lutf
mein sab sey bari rukawat jinsi sardmehri hai iss beemari mein aurat
jinsi ishte'aal sey awwal to jinsi lutf hasil nahin kar pati ya bohut hi
ma'amooli lutf mehsoos karti hai aisi aurtein orgasm hasil nahin
kartiin jinsi sardmehri mein aurat na sirf jinsi lutf kay ehsaasaat
mehsoos nahin karti bul kay jismani jinsi ishte'aal sey uski faraj mein
chiknahat bhi nahin hoti bohut hi ma'amooli aur bara'ey naam chiknahat
hoti hai isey jinsi bey hisi bhi kehtey hain Jinsi sardmehri ki do aqsaam hai.
Frigidity In Women - Treatment
- Ibteda'ee Sardmehri (iss mein aurat ney kabhi jinsi lutf hasil nahin kya hota)
- Saanvi Sardmehri (iss mein aurat ba'az auqaat jinsi ishte'aal sey kuch jinsi lazzat mehsoos karti hai aur ba'az khawateen sirf kisi khaas mahol mein jinsi ishte'aal sey jinsi lutf mehsoos karti hain)
Jinsi Sardmehri - Elaj (Frgidity Treatment)
Jinsi sardmehri ki wajah amooman nafsiyati hoti hai chuna'ncha iss kay liye tajziyati nafsiyati elaj ki zaroorat hoti hai magar nafsiyati elaj sey pehley mandarja zael per amal kar kay iss masley ko hal karney ki koshish ki ja sakti hai . Bohut si khawateen iss sey faeda utha leti hain
Jinsi Ehsasaat Per Tawajjuh Markooz Karney Ki Mushq
jinsi taleem
jinsi- Mubashrat
Mubashrat (intercourse) :
Mubashrat (intercourse) shadi ki buniyad hai magar budqismati sey humarey yahan laa ilmi ki wajah sey aksar log iss silsiley mein ziyada malomaat nahi rakhtey hain. Mardon ki aksaryat to mubashrat (intercourse) kay exact maqam sey bhi aagah nahi. Inhein sirf andaza hai magar woh vagina ki asal location sey waqif nahi. Aap ko yeh jaan kay hairat hogi kay bohut sey shadi shuda mard bhi iss kay asal maqam sey aagah nahi, woh sirf andazey sey mubashrat (intercourse) kartey hain. Issi liye ba'az auqat laa ilmi ki wajah sey mian dakhool ki koshish mein dakhool sey pehley hi discharge ho jatey hain. Jis ki wajah sey unko shadeed sharmindagi uthana parti hai aur biwi jismani aur zehni aziyat ka shikar ho jati hai. Chunancha mian kay liye zaroori hai kay woh shadi kay shuru kay dino mein hi apni biwi kay aaza-e-makhsoosa (genitals) khaas tor per faraj (vagina) kay asal maqam sey puri tarhan aagah hojaey.
Islam mein shadi kay baad biwi kay saath mubashrat (intercourse) naeki aur sadqa hai, jiska mian biwi ko sawab milta hai yeh koi buri yeh naa pasandeeda cheez nahi hai. Hazrat Muhammad(P.B.U.H) nay farmaya kay apni biwi sey ham-bistari (mubashrat) karnaa sadqa hai. Sahaba e karam ney kaha kay hum to apni shahoot puri kartey hain phir iss mein humarey liye ajar aur sawab kaisey?
Chapter - 2
(Enhancing Sex Power)
Duniya mein har fard mardanaa quwwat mein izafa chata hai. Hakeem iss hawaley sey khususi course use karney ki sifarish kartey hain. Jis ki koi haqeeqat nahi. Mardana quwwat kay liye achi zehni aur jismani sehat zaroori hai. Iss tarhan achi zehni aur jismani sehat kay liye bhar poor sex ki zaroorat hai. Agar fard zehni aur jismani lehaz sey sehat mand ho to woh last time tak jinsi amal kay qabil hota hai. Achi jinsi sehat kay liye aap ko shaori koshish karna hogi. Bharpoor jinsi sehat aur sex power (mardana quwwat) kay liye mandarjazail baaton per amal karein.
- Khooraak
Hamesha mutawazin aur kam khoorak khaya karein. Allah Ta'ala kay Nabi Hazrat Muhammad (P.B.U.H) ka irshad hai kay kabhi paet bhar kar khanaa naa khaya jaey. Khoorak kam chiknaa (Low Fat) wali ho. Amoomi sehat kay liye taza vegetables aur fruits mufeed hain. Balaee nikla milk aur mukammal eggs kay bajaey sirf iss ki safaidi li jaey. Gosht mein chicken ziyada mufeed hai. Iss kay elawa vitamin C, D aur E ka baqaida use kiya jaey. Cholestrol aur Friglyceride ko barhney naa dein.
Humarey yahan Allah Ta'ala kay Nabi Hazrat Muhammad (P.B.U.H) kay saath ek baat mansoob hai ka Hazrat Jibrail Hazrat Muhammad (P.B.U.H) ko mardanaa quwwat mein izafai kay liye jannat sey hareesa la kar diya tha jis sey aap ki sex power (mardana quwwat) mein bohut ezafa hogaya.
Sexual Desire In Women - Women And Sex
woh apka nafsiyati analysis karney kay baad aap kay iss masley ko hal karey kyun kay yeh ek nafsiyati masla hai. Jinsi khwahish (libido) aur jinsi amal ek fitri process hai aur agar biwi jinsi amal mein active kirdar ada karey to azdawaji zindagi bey hudd khushgawar ho jati hai. (Hyde)
Sex Is Sin - Sex Ek Gandi Cheez
Mard Inn Aurton Ko Pasand Nahi Kartey Jo Sex Ko Pasand Karti Hain?
Khawateen kay zehen mein kisi na kisi tarhan yeh
baat bitha di gaee hai ya beth gaee hai kay mard inn aurton ki izzat
nahi kartey ya unko pasand nahi kartey jo sex ko pasand karti hain. Yeh
baat na sirf mashriq mein bul kay maghrib mein bhi mashhoor hai. Iss
baat ki koi haqeeqat nahi kyun kay mard aisi aurton kay sath zyada
comfortable feel kartey hain aur unko pasand kartey hain jo sex mein
dilchaspi leti hain. (Angelis)
Aurat Mein Mard Sey 8 Guna Zyada Shahoot? (Sexual Desire In Women)
Yeh baat bar bar suni jati hai kay aurton mein
jinsi khwahish (sexual desire) mardon sey 8 guna zyada hoti hai. Aurat
mein chahey janey ki khwahish bila mubalgha bohut hai magar jahan tak
jinsi khwahish (libido) ka ta'alluq hai woh mard sey zyada nahi. Kuch
researchers ka khayal hai kay iss lehaz sey mard aur aurat donon baraber
hain aur kuch ka khayal hai kay mardon mein yeh khwahish thori si zyada
hai. Darasal aurat mein mohabbat ki khwahish zyada hai jab kay mard
mein mubashrat (Intercourse) ki. 'Woman wants to talk man wants to do'.
Lehaza science kay mutabiq yeh baat bilkul ghalat hai kay aurat mein
jinsi jazbat mard sey 8 guna zyada hain. (Zakir: Hyde) Sex Is Sin - Sex Ek Gandi Cheez
Sex Ek Gandi Cheez …? (Sex Is Sin)
Puri duniya mein sex ko ek gandi aur na pasandeeda cheez samjha jata hai. (Dastoor) Isliye khawateen kay bohut sey jinsi masail ki bari wajah yehi ghalat tasawwur hai. Islam mein baghaer nikah kay jinsi amal
na sirf buri aur gandi cheez hai bul kay bohut bara gunah (sin) hai.
Jab kay nikah kay baad jinsi amal na sirf gandi cheez nahi bul kay ek
pasandeeda amal hai. Jisko Allah kay nabi Hazrat Mohammad (P.B.U.H) ney
sadqa aur naeki qarar diya hai. Nikah kay baad jinsi amal mein shareek
ho kar husband wife donon ajar aur sawab kay mustahiq ho jatey hain.
Kya Aurat Sex Ko Pasand Nahi Karti?
Logon mein ek aam khayal yeh bhi paya jata hai kay aurtein sex ko zyada pasand nahi kartiin. Iss khayal ki ek bari wajah yeh hai kay mubashrat (Intercourse) kay doran khawateen active kay bajaey passive role ada karti hain. Yani foreplay aur mubashrat
(Intercourse) kay doran aurtein amooman khamosh leti rehti hain. Zinda
lash ki tarhan, iss doran jo karna hai mard ney karna hai. Khawateen
khwahish kay bawajood mubashrat (Intercourse) mein sexually active
kirdar ada nahi kartiin. Issi tarhan hamarey yahan aurat amooman pehel
nahi karti. Doosrey mafroozon ki tarhan yeh bhi ek ghalat mafrooza hai.
Kyun kay mard aur aurat donon hi sex ko pasand kartey hain. Donon
mubashrat (Intercourse) kay khwahishmand hain lekin mashriqi sharm o
haya aur ilm ki kami ki wajah sey woh mubashrat (Intercourse) mein
active role play nahi karti. Agar aap ko waqaee sex na pasand hai ya iss
sey nafrat hai to foran kisi mahir e nafsiyat sey raabta karein ta kay
Frequent Intercourse - Kasrat e Mubashrat
Kasrat e Mubashrat Aurton Kay Liye Nuqsandeh Hai?
(Frequent Intercourse Is Harmful)
26 year old unmarried Noreen ney mujhey phone kya uski jald shaadi
honay wali thee. Uska honay wala husband iss ka aashiq bhi tha. Iss kay
husband ney iss ko kaha kay shadi kay baad woh iss kay sath bohut zyada
mubashrat
(Intercourse) karey ga. Noreen pareshan thee kay mubashrat
(Intercourse) zyada karney sey iss ko koi nuqsan to nahi pohonch jaey
ga. Mubashrat (Intercourse) husband aur wife kay liye Allah ki taraf sey
ek atiya hai. Yeh kitna bhi kyun na kya jaey iss ka koi nuqsan nahi.
Mubashrat (Intercourse) buniyadi tor per sukoon ka sabab hai aur zyada
sukoon kabhi bhi nuqsan ka sabab nahi hota. Latest research sey maloom
hua hai kay zyada mubashrat (Intercourse) azdawaji zindagi
ko zyada purlutf banati hai, jis sey na sirf aurat ki sehat achi hoti
hai, age bhi lambi hoti hai bul kay iss ki dard ko bardasht karney ki
salahiyat mein bhi izafa hota hai. (Mobeen: Time: Hyde)
Choti Umer Ki Shadi Aurat Ki Sehat Ko Muta'assir Karti Hai?
Kuch logon ka khayal hai kay agar larki ki shaadi
choti age mein kar di jaey to iss ki sehat kharab ho jaey gi. Yeh baat
ghalat bhi hai aur durust bhi. Yani jab aurat hamla (pregnant)
hoti hai to iss doran isey apney liye aur bachey kay liye khoorak ki
zaroorat hoti hai. Yani ek kay bajaey 2 afrad kay liye khoorak. Ab agar
donon ko achi khoorak milti hai to aurat ki sehat per kisi tarhan kay
burey asraat nahi partey. Issi tarhan bachey ki paedaesh kay baad
bachey ko milk pilaney ki soorat mein bhi aurat ko achi aur behter
khoorak ki zaroorat hai. Agar isey achi khoorak hasil hai to phir iss ki
sehat muta'assir nahi hoti lekin agar
Frigidity In Women - Khawateen Mein Sardmehri
Sardmehri (Frigidity In Women)
Sardmehri mein aurat mein na sirf jinsi jazbat nahi hotey bul kay woh jinsi amal sey koi raghbat nahi rakhti. Aisi aurtein orgasm
yani jinsi urooj hasil nahi kartiin. Aisi kuch aurtein mukammal
sardmehri ka shikar hoti hain aur kuch nisbatan kam. Agarcha inn aurton
mein jinsi khwahish (libido) aur
raghbat aam aurton sey kam hoti hai. Taham yeh mubashrat (Intercourse)
per aamada ho jaein to yeh orgasm hasil kar leti hain. Frigidity ki
jismani wajah bohut kam hoti hai maslan mubashrat mein pain (Painful Intercourse).
Dhaka hua bazer (Clitoris) ya vagina mein infection waghaera. Iss ki
bari wajah nafsiyati hoti hai maslan mubashrat (Intercourse) ka khauf, pregnancy ka khatra, ahsas e gunah aur bachpan mein sexual abuse waghaera.
Menopause
Menopause sey murad woh daur hai jab aurat ki mahwaari (menses)
band ho jati hai aur woh bacha paeda karney kay qabil nahi rehti. Bohut
si aurtein iss mein jismani, nafsiyati aur jinsi lehaz sey bilkul
normal zindagi guzarti hain. Usually last mahwaari (menses) mein 12
month kay baad 50 saala aurat banjh
ho jati hai aur aulad paeda nahi kar sakti. Lekin ab aisi technology
mojood hai jis ki wajah sey aurat iss kay baad bhi pregnant ho sakti
hai. Magar aurton ki ek big tadaad 90% menopause mein apney jism aur
personality mein bohut sey changes mehsoos karti hain. Menopause ki sab
sey bari alamat garmi ka ehsas, hot flashes hain. Iss mein aurat kay
jism mein garmi ki ek lehar dorr jati hai. Garmi ka ahsas sab sey pehley
chest mein hota hai phir gardan aur face mein.
Leucorrhea Treatment
Neem hakeem leucorrhea
ko bohut khatarnak beemari qarar detey hain jab kay yeh koi beemari
nahi aur na hi khatarnak hai. Iss ki wajah usually kharab sehat,
constipation aur khoon ki kami waghaera hoti hai. Iss discharge ki wajah
sey ghusl
farz nahi hota aur na hi iss sey kaprey napak hotey hain. Iss doran
apney khas organ ko saaf rakhein. Wuzu karein aur namaz parhein.
Agarcha leucorrhea koi beemari nahi magar phir
bhi neem hakeem apni jehalat ki wajah sey iss kay bohut sey nuqsanat ka
zikar kartey hain. Maslan iss sey kamar mein dard hota hai. Legs heavy
mehsoos hotey hain. Tabiyat sust aur kahil ho jati hai aur kamzori bohut
hoti hai. Jab tak yeh marz rahey pregnancy nahi hoti. Shadeed case mein
halat bigarr jati hai. Face ka colour yellow ho jata hai. Hazma kharab
rehta hai. Hand and legs thandey ho jatey hain. Thori si mushaqqat sey
breath zyada hojati hai. Dil dhar dhar karney lagta hai aur mahwaari
(menses) mein bhi disturbance ho jati hai. Homeo doctor Ali Asghar
choudhary apni book mein likhtey hain kay "kamar mein dard, legs mein
pain, headache, badan mein kamzori hojati hai. Zyada der tak yeh marz
qaim rahey to sehat ka diwaliya nikal deta hai aur aurat chalti phirti
lash ban kar zindagi sey bezaar ho jati hai." Yeh sab kuch 100% ghalat
aur jehalat hai. Iss mein koi haqeeqat nahi.
Jismani Nafsiyati Tabdeeliyan
Menopause Symptoms - Jismani Nafsiyati Tabdeeliyan
Face red ho jata hai.
Garmi ka yeh ahsas jism kay doosrey parts mein bhi phael sakta hai. Iss
kay sath itching ka ahsas bhi hota hai, paseena aa jata hai aur phir
thandak ka ahsas. Hot flashes chund seconds sey 30 minute tak reh saktey
hain aur din mein kaee baar aisa ho sakta hai. America ki ek research
kay mutabiq 60% aurton ney hot flashes feel karey. London ki ek research
mein 50% aurton ney hot flashes mehsoos karey aur inn mein sey 50% ney
zyada uncomfortable feel kya. Iss kay elawa menopause mein khawateen
mein following symptoms paey jatey hain. Chakkar, headache, thakawat,
neend na aana, dil ki taez dharkan, dam ghutna aur itching. Khaas tor
per khas organs mein. Taham inn symptoms ka menopause kay sath directly
koi ta'alluq nahi hai.
Menopause ki barri wajah female jinsi hormone estrogen ki production ki kami hai. Iss kami ki wajah sey pistaan (Breast) flat aur loose ho jatey hain. Uterus aur ovaries shrink ho jati hain. Vagina
dry ho jati hai. Iss ki walls thin ho jati hain jiski wajah sey aurat
ko mubashrat (Intercourse) mein takleef hoti hai. Yeh takleef external
lubrication waghaera sey door ki ja sakti hai.
Menopause mein jismani tabdeelion kay elawa bohut
si nafsiyati tabdeeliyan bhi hoti hain. Maslan bezari, chirchirra pan,
bhool jana, beychaeni, anxiety, udaasi, depression aur old age ka khauf
waghaera magar yeh saari tabdeeliyan ahista ahista khatam hojati hain.
Oral Sex - Sexual Satisfaction Alternatives
Mushtarka Masail Aur Hal
Oral Sex (Sexual Satisfaction Alternatives)
Maghrib mein aaj kal oral sex ki waba aam hai.
Wahan taqreeban 90% mard aur khawateen iss mein mulawwis hain. Oral sex
mein husband wife ek doosrey kay sex organs ko mouth kay zariye
stimulate (Choomna, Chatna, Choosna etc) kar kay orgasm hasil kartey hain. Hamarey yahan bhi kuch log jinsi lutf kay liye yeh tareeqa use kartey hain. Isey 69 game bhi kaha jata hai. (Hyde)
Oral sex kay 2 aspects hain. Ek sehat ka aur
doosra mazhab ka. Sehat kay lehaz sey iss ka sab sey big nuqsan yeh hai
kay iss kay zariye ek shakhs ki beemari maslan aids aur doosri jinsi beemariyan doosrey shakhs ko jald transfer ho jati hain. Agarcha aurat kay genital organ aur mard kay genital organ
sey nikalney wala mawaad koi khas nuqsan deh nahi. Mahireen ka khayal
hai kay yeh mawaad thook sey kam harmful hai jo kay French kissing mein
ek doosrey kay mouth mein chala jata hai. (Reuben, Woman And Body)
Religious point of view sey ulma ki raey mein ikhtilaf hai. Imam Hambal
kay manney waley iss ko jaez samajtey hain. Hum ney Lahore kay fiqa e
hanfiya kay ek famous idarey sey bhi fatwa liya. Unhoney iss ko aam
halat mein makrooh qarar diya aur kaha kay agar mani (seminal fluid)
aurat kay mouth mein chali jaey to haram hoga. Baaz doosrey ulma ney
iss ko haram qarar diya hai magar iss kay haram honay ki Quran o sunnah
mein koi wazeh daleel nahi hai. Zaati tor per mujhey isey shadeed
karahiyat hai.
Menopause And Sexuality - Low Libido In Women
Menopause kay doran
jinsi sargarmi rokney ki zaroorat nahi. Aurton mein usually mukhtasir
daur kay liye jinsi khwahish mein kami (low libido in women) ho jati hai. Yeh khwahish bilkul khatam nahi hoti. Kyun kay jinsi khwahish ka ta'alluq male jinsi hormone testosterone
kay sath hai jo sari zindagi paeda hota rehta hai. Chunancha aurat mein
jinsi khwahish hamesha mojood rehti hai. Iss age mein kyun kay pregnancy ka khauf nahi hota iss wajah sey aksar khawateen mubashrat
(Intercourse) sey zyada lutf andoz hoti hain. Menopause ki aksar
tabdeeliyon ki wajah estrogen ki kami hai. Lehaza kisi achey doctor ki
wajah sey iss kami ko pura kya ja satka hai. Jis ki wajah sey bohut sey
symptoms khatam ho saktey hain.
Menopause ki age different aurton mein different
hoti hai. Menopause ki America mein average age 51 saal hai jab kay
wahan aurat ki average age 79 saal hai. Ek thori ta'adad ki menopause ki
age 40 saal sey kam hai. Kam umer mein menopause ki wajah poverty,
aulad na hona, motapa, der sey baligh hona aur heredity waghaera hai.
Kabhi kabhi aurtein 60 saal ki ibtedai daur (62,63 saal) mein menopause
tak pohonchti hai. Hamarey yahan ek andazey kay mutabiq menopause ki ek
average age 45 saal hai. America mein 50% aurtein 50 saal ki umer kay
baad bacha paeda nahi kar sakti. Sirf 5% aurtein 55 saal ki umer kay
baad bhi pregnant ho sakti hai. (Hyde)
Infertility In Men - Baanjhpan
Banjhpan (Infertility In Men)
Infertility -Banjh Pan
InfertilityIn Women - Baanjhpan
Sexually Transmitted Diseases - Sexual Perversions
Jab kay test tube kay
liye sirf 50,000 sperms ki zaroorat hai. Test tube mein amooman larki
paeda hoti hai. (Shettles) Duniya ki pehli test tube baby 1976 mein
England mein paeda hui. Lahore mein bhi yeh sahoolat mojood hai. Aaj kal
science ki taraqqi ki wajah sey sperms ki tadaad mein ezafa karna
mumkin hai. Naujawano ko chahiyie kay shadi sey pehley apna sperm count
check kara lein. Agar kam ho to kisi achey doctor sey adviyat (medicine)
lein.
Aurton mein baanjhpan (infertility in women)
ki kaee wajoohaat (causes) hoti hain. Kabhi fallopian tube band hoti
hai. Kabhi inn mein koi kharabi hoti hai. Kabhi ovaries sahi tor per kam
nahi kar rahi hoti. Kabhi egg puri tarhan tayyar nahi hotey. Kabhi egg
fallopian tube mein nahi utartey. Inn sab ka elaj mumkin hai. Lehaza
shadi kay baad ki pareshanion sey bachney kay liye behter yehi hai kay
larkian kisi gynecologist sey apna checkup karalein aur agar zaroorat ho
to elaj kara lein.
Jinsi Beemariyan: (Sexually Transmitted Diseases)
Aisi beemariyan jo jinsi milap kay zariye ek
shakhs sey doosrey shakhs ko transfer ho jati hain. Yeh bohut si hain
magar zyada ahem Gonorrhoea aur Syphillis hain. Yeh beemari azab e elahi
hai. Yeh mardon aur aurton dono ko hojati hai. Yeh bhayanak beemariyan
bachon ko bhi transfer hojati hai. Baaz auqat yeh beemariyan fori zahir
nahi hoti bul kay kafi der kay baad zahir hoti hain.
Sexually Transmitted Diseases - Sexual Perversions
Yeh STD's (jinsi
beemariyan) usually prostitutes, animals aur anus mein mubashrat
(Intercourse) ki wajah sey paeda hoti hain. Gonorrhea mein penis ki nali
mein infection ho jata hai aur syphilis mein penis kay ooper blister
per jatey hain jo baad mein jism kay doosrey hisson mein phael jatey
hain. Gonorrhea aur syphilis kay elawa hepatitis aur aids jaisey mohlik
amraz bhi mubashrat
(Intercourse) kay zariye doosrey afrad ko transfer ho jati hain. Yeh
beemariyan oral sex aur anal sex mein zyada aasani sey transfer hoti
hain. Junhi aap apney makhsoos organ yeh iss kay erd gird acne, pimples,
blisters dekhein ya peeshab ki nali sey pus aaney lagey to foran kisi
urologist sey contact karein. Elaj na karaney ki soorat mein yeh beemari
aap ki wife ya husband ko aur phir aaney waley bachon ko transfer ho
sakti hai. (Hyde: Reuben)
Jinsi Beyrahrawi (Sexual Perversions)
Jinsi khwahish
ki takmeel kay liye normal aur fitri zariya shadi kay baad aurat kay
sath mubashrat (Intercourse) karna hai. Jinsi taskeen kay doosrey zariye
ghaer fitri hain jin ko jinsi beyrahrawi kaha jata hai. Sexual
perversions ka shikar zyada tar mard hotey hain. Psychiatrists ka dawa
hai kay aisey aksar afraad ka elaj kar kay unko theek kya ja sakta hai.
Humney khud bohut sey aisey afrad ki help kari. Jinsi beyrahrawi ki
bohut si aqsaam hain. Chund ahem ka mukhtasir zikr kya jata hai.
(StorrHyde)
Subscribe to:
Posts (Atom)