pregnancy tips in urdu

 Pregnancy tips in urdu

shaadi kay baad har larkey larki ki khwahish hoti hai kay woh jald az jald waledaen ban jaein unki khwahish to kam hoti hai magar azeez o aqarib khusoosan larkey larki kay waledaen ki khwahish zyada. Lekin humari tajweez hai kay pehley ek do saal bacha nahin hona chahiyie taa'kay dulha dulhan azdawaji zindagi kay sukoon aur lazzat sey khoob lutf andoz ho lein. Baqi sari umar bachey hi paeda karney hain iss kay elawa agar mian biwi mein nachaaqi ho jaey to alaehdgi mein aasani hogi na kay bachon ki wajah sey sari zindagi azaab mein guzrey, kyun kay mahireen ki ra'ey hai kay na khushgawar shaadi sey khushgawar alaehdgi behter hai bachey ki paedae'sh kay ba'ad aurat maa'n ban jati hai aur zyada tawajjuh bachey ko deti hai jab kay khawand ko ek biwi ki zaroorat hoti hai behter hai kay biwi ki umar 35 saal honay sey pehley khandan ko mukammal kar liya jaey iss umr kay bachey amooman sehatmand hotey hain. Mahireen ka khayal hai kay maa'n aur bachon ki achi sehat kay liye bachon ki paedae'sh mein kam az kam do/dha'ee saal ka waqfa hona chahiyie. Quran majeed sey bhi yehi ishara milta hai warna maa'n kay liye bachon ki achi parwarish karna mushkil ho jata hai. Dekha gaya hai kay agar bachey jaldi jaldi paeda hun to humarey haan ek aadh bacha nanhiyaal mein parwarish paata hai wahan ya to usko zaroorat sey zyada tawajjuh aur mohabbat milti hai ya phir poori tawajjuh aur mohabbat nahin milti donon surton mein bacha ba'az nafsiyati masail ka shikar ho jata hai.


Aurat kay haamla honay kay liye mandarja zael shara'et ka poora hona zaroori hai.

  1. Mani faraj kay ander daakhil ho.
  2. Mani mein kam az kaz 2 crore sehat mund nutfey mojood hun.
  3. Nutfo'n (sperms) kay liye faraj ka mahol aisa ho jis mein woh zinda reh sakein agar aurat ki faraj mein taezaabiyat zyada hogi to nutfey marr jatey hain aur bachey paeda nahin ho saktey.
  4. Sperms bacha daani khusoosan muta'alliqa qazif naali mein pohonch jaein.
  5. Sperm baaraawari kay liye baeza paa lein.
  6. Baar aawari kay ba'ad baeza bacha daani (uterus) mein aa jaey.

Jab mian biwi mubashrat kartey hain to khawand kay inzal honay sey amooman 3.5 milliliter mani (seminal fluid) biwi ki faraj mein jati hai jis mein ausatan 30, 40 crore sperm mojood hotey hain inn mein kuch sehatmand hotey hain aur kuch ghaer sehatmand yeh sperms faraj mein sey hotey huey bacha daani aur phir qazif naaliyon (fallopian tubes) mein jatey hain jahan haml theherta hai. Agarcha hamal kay liye sirf ek sehatmund sperm ki zaroorat hoti hai magar ek sperm ka andey ko baaraawar karney kay liye mard ki mani mein kam az kam 2 crore kay lug bhug sehatmand sperm mojood hun. Iss surat mein amooman larki paeda hoti hai hota yeh hai kay mard kay inzal kay ba'ad kuch mani faraj sey baher beh jati hai faraj mein sey hotey huey sperm bacha daani mein jatey hain bohut sey sperms faraj ki taezabiyat ki wajah sey mar jatey hain

Pregnancy - Hamal
Bohut sey sperm raastey mein hi mar jatey hain. Jo aagey jatey hain unn mein sey aadhey ghalat tube mein chaley jatey hain kyun kay anda ek tube mein hota hai kis tube mein hai sperm ko iska ilm nahin hota iss tarah 30, 40 crore sperms mein sey sirf 2 hazar kay lug bhug sperm andey tak pohonchtey hain aur inn mein sey ek andey ko baar aawar karta hai.
Aurat ki faraj kay khatmey per bacha daani (uterus) hoti hai jis mein bachey ki nashonuma hoti hai bachey daani ka munh faraj mein khulta hai bachey daani kay donon taraf daaei'n baae'in 2 naaliyan hoti hain inko qazif naaliyan (fallopian tubes) kaha jata hai. Yeh naaliyan ek taraf bacha daani sey mili hoti hain aur doosrey sirey per do baeza daaniyon sey mili hoti hain baeza daaniyon mein laakhon ki ta'adaad mein baezey (andey) hotey hain har maah sirf ek hi andey ki nashonuma hoti hai, yeh baeza kisi ek baeza daani mein tayyar hota hai qudrati tor per har maah bari bari sey baeza daaniyon mein sey kisi ek mein sey baeza nikalta hai baeza rezi kay waqt anda kisi ek baeza daani sey nikal kar muta'alliqa qazif naali mein aa jata hai, doosri taraf sey mard ka nutfa aata hai donon kay milaap sey hamal theherta hai ju'nhi baeza aur sperm miltey hain to phir yeh bacha daani mein aa jatey hain jahan bachey ki parwarish hoti hai.
Nutfa faraj mein 6 ghantey zinda reh sakta hai aur jab yeh bachey daani mein daakhil hota hai wahan 3 ta 5 din bul kay zyada bhi zinda reh sakta hai doosri taraf agar baeza raezi kay qareeb mubashrat hogi to hamal kay imkaanaat barh jatey hain. Waisey agar baqa'eda mubashrat ho to ek maah mein aurat kay hamla honey kay imkaanaat 60% hain (yani ek din chor ker ya rozana mubashrat ki jaey taa'hum ek din chor kar zyada mufeed hai)