InfertilityIn Women - Baanjhpan
Sexually Transmitted Diseases - Sexual Perversions
Jab kay test tube kay
liye sirf 50,000 sperms ki zaroorat hai. Test tube mein amooman larki
paeda hoti hai. (Shettles) Duniya ki pehli test tube baby 1976 mein
England mein paeda hui. Lahore mein bhi yeh sahoolat mojood hai. Aaj kal
science ki taraqqi ki wajah sey sperms ki tadaad mein ezafa karna
mumkin hai. Naujawano ko chahiyie kay shadi sey pehley apna sperm count
check kara lein. Agar kam ho to kisi achey doctor sey adviyat (medicine)
lein.
Aurton mein baanjhpan (infertility in women)
ki kaee wajoohaat (causes) hoti hain. Kabhi fallopian tube band hoti
hai. Kabhi inn mein koi kharabi hoti hai. Kabhi ovaries sahi tor per kam
nahi kar rahi hoti. Kabhi egg puri tarhan tayyar nahi hotey. Kabhi egg
fallopian tube mein nahi utartey. Inn sab ka elaj mumkin hai. Lehaza
shadi kay baad ki pareshanion sey bachney kay liye behter yehi hai kay
larkian kisi gynecologist sey apna checkup karalein aur agar zaroorat ho
to elaj kara lein.
Jinsi Beemariyan: (Sexually Transmitted Diseases)
Aisi beemariyan jo jinsi milap kay zariye ek
shakhs sey doosrey shakhs ko transfer ho jati hain. Yeh bohut si hain
magar zyada ahem Gonorrhoea aur Syphillis hain. Yeh beemari azab e elahi
hai. Yeh mardon aur aurton dono ko hojati hai. Yeh bhayanak beemariyan
bachon ko bhi transfer hojati hai. Baaz auqat yeh beemariyan fori zahir
nahi hoti bul kay kafi der kay baad zahir hoti hain.
Sexually Transmitted Diseases - Sexual Perversions
Yeh STD's (jinsi
beemariyan) usually prostitutes, animals aur anus mein mubashrat
(Intercourse) ki wajah sey paeda hoti hain. Gonorrhea mein penis ki nali
mein infection ho jata hai aur syphilis mein penis kay ooper blister
per jatey hain jo baad mein jism kay doosrey hisson mein phael jatey
hain. Gonorrhea aur syphilis kay elawa hepatitis aur aids jaisey mohlik
amraz bhi mubashrat
(Intercourse) kay zariye doosrey afrad ko transfer ho jati hain. Yeh
beemariyan oral sex aur anal sex mein zyada aasani sey transfer hoti
hain. Junhi aap apney makhsoos organ yeh iss kay erd gird acne, pimples,
blisters dekhein ya peeshab ki nali sey pus aaney lagey to foran kisi
urologist sey contact karein. Elaj na karaney ki soorat mein yeh beemari
aap ki wife ya husband ko aur phir aaney waley bachon ko transfer ho
sakti hai. (Hyde: Reuben)
Jinsi Beyrahrawi (Sexual Perversions)
Jinsi khwahish
ki takmeel kay liye normal aur fitri zariya shadi kay baad aurat kay
sath mubashrat (Intercourse) karna hai. Jinsi taskeen kay doosrey zariye
ghaer fitri hain jin ko jinsi beyrahrawi kaha jata hai. Sexual
perversions ka shikar zyada tar mard hotey hain. Psychiatrists ka dawa
hai kay aisey aksar afraad ka elaj kar kay unko theek kya ja sakta hai.
Humney khud bohut sey aisey afrad ki help kari. Jinsi beyrahrawi ki
bohut si aqsaam hain. Chund ahem ka mukhtasir zikr kya jata hai.
(StorrHyde)