Menopause Symptoms - Jismani Nafsiyati Tabdeeliyan
Face red ho jata hai.
Garmi ka yeh ahsas jism kay doosrey parts mein bhi phael sakta hai. Iss
kay sath itching ka ahsas bhi hota hai, paseena aa jata hai aur phir
thandak ka ahsas. Hot flashes chund seconds sey 30 minute tak reh saktey
hain aur din mein kaee baar aisa ho sakta hai. America ki ek research
kay mutabiq 60% aurton ney hot flashes feel karey. London ki ek research
mein 50% aurton ney hot flashes mehsoos karey aur inn mein sey 50% ney
zyada uncomfortable feel kya. Iss kay elawa menopause mein khawateen
mein following symptoms paey jatey hain. Chakkar, headache, thakawat,
neend na aana, dil ki taez dharkan, dam ghutna aur itching. Khaas tor
per khas organs mein. Taham inn symptoms ka menopause kay sath directly
koi ta'alluq nahi hai.
Menopause ki barri wajah female jinsi hormone estrogen ki production ki kami hai. Iss kami ki wajah sey pistaan (Breast) flat aur loose ho jatey hain. Uterus aur ovaries shrink ho jati hain. Vagina
dry ho jati hai. Iss ki walls thin ho jati hain jiski wajah sey aurat
ko mubashrat (Intercourse) mein takleef hoti hai. Yeh takleef external
lubrication waghaera sey door ki ja sakti hai.
Menopause mein jismani tabdeelion kay elawa bohut
si nafsiyati tabdeeliyan bhi hoti hain. Maslan bezari, chirchirra pan,
bhool jana, beychaeni, anxiety, udaasi, depression aur old age ka khauf
waghaera magar yeh saari tabdeeliyan ahista ahista khatam hojati hain.