Oral Sex - Sexual Satisfaction Alternatives

Mushtarka Masail Aur Hal

Oral Sex (Sexual Satisfaction Alternatives)
    Maghrib mein aaj kal oral sex ki waba aam hai. Wahan taqreeban 90% mard aur khawateen iss mein mulawwis hain. Oral sex mein husband wife ek doosrey kay sex organs ko mouth kay zariye stimulate (Choomna, Chatna, Choosna etc) kar kay orgasm hasil kartey hain. Hamarey yahan bhi kuch log jinsi lutf kay liye yeh tareeqa use kartey hain. Isey 69 game bhi kaha jata hai. (Hyde) 
    Oral sex kay 2 aspects hain. Ek sehat ka aur doosra mazhab ka. Sehat kay lehaz sey iss ka sab sey big nuqsan yeh hai kay iss kay zariye ek shakhs ki beemari maslan aids aur doosri jinsi beemariyan doosrey shakhs ko jald transfer ho jati hain. Agarcha aurat kay genital organ aur mard kay genital organ sey nikalney wala mawaad koi khas nuqsan deh nahi. Mahireen ka khayal hai kay yeh mawaad thook sey kam harmful hai jo kay French kissing mein ek doosrey kay mouth mein chala jata hai. (Reuben, Woman And Body) Religious point of view sey ulma ki raey mein ikhtilaf hai. Imam Hambal kay manney waley iss ko jaez samajtey hain. Hum ney Lahore kay fiqa e hanfiya kay ek famous idarey sey bhi fatwa liya. Unhoney iss ko aam halat mein makrooh qarar diya aur kaha kay agar mani (seminal fluid) aurat kay mouth mein chali jaey to haram hoga. Baaz doosrey ulma ney iss ko haram qarar diya hai magar iss kay haram honay ki Quran o sunnah mein koi wazeh daleel nahi hai. Zaati tor per mujhey isey shadeed karahiyat hai.

Menopause And Sexuality - Low Libido In Women
 
 Menopause kay doran jinsi sargarmi rokney ki zaroorat nahi. Aurton mein usually mukhtasir daur kay liye jinsi khwahish mein kami (low libido in women) ho jati hai. Yeh khwahish bilkul khatam nahi hoti. Kyun kay jinsi khwahish ka ta'alluq male jinsi hormone testosterone kay sath hai jo sari zindagi paeda hota rehta hai. Chunancha aurat mein jinsi khwahish hamesha mojood rehti hai. Iss age mein kyun kay pregnancy ka khauf nahi hota iss wajah sey aksar khawateen mubashrat (Intercourse) sey zyada lutf andoz hoti hain. Menopause ki aksar tabdeeliyon ki wajah estrogen ki kami hai. Lehaza kisi achey doctor ki wajah sey iss kami ko pura kya ja satka hai. Jis ki wajah sey bohut sey symptoms khatam ho saktey hain. 
    Menopause ki age different aurton mein different hoti hai. Menopause ki America mein average age 51 saal hai jab kay wahan aurat ki average age 79 saal hai. Ek thori ta'adad ki menopause ki age 40 saal sey kam hai. Kam umer mein menopause ki wajah poverty, aulad na hona, motapa, der sey baligh hona aur heredity waghaera hai. Kabhi kabhi aurtein 60 saal ki ibtedai daur (62,63 saal) mein menopause tak pohonchti hai. Hamarey yahan ek andazey kay mutabiq menopause ki ek average age 45 saal hai. America mein 50% aurtein 50 saal ki umer kay baad bacha paeda nahi kar sakti. Sirf 5% aurtein 55 saal ki umer kay baad bhi pregnant ho sakti hai. (Hyde)