Kasrat e Mubashrat Aurton Kay Liye Nuqsandeh Hai?
(Frequent Intercourse Is Harmful)
26 year old unmarried Noreen ney mujhey phone kya uski jald shaadi
honay wali thee. Uska honay wala husband iss ka aashiq bhi tha. Iss kay
husband ney iss ko kaha kay shadi kay baad woh iss kay sath bohut zyada
mubashrat
(Intercourse) karey ga. Noreen pareshan thee kay mubashrat
(Intercourse) zyada karney sey iss ko koi nuqsan to nahi pohonch jaey
ga. Mubashrat (Intercourse) husband aur wife kay liye Allah ki taraf sey
ek atiya hai. Yeh kitna bhi kyun na kya jaey iss ka koi nuqsan nahi.
Mubashrat (Intercourse) buniyadi tor per sukoon ka sabab hai aur zyada
sukoon kabhi bhi nuqsan ka sabab nahi hota. Latest research sey maloom
hua hai kay zyada mubashrat (Intercourse) azdawaji zindagi
ko zyada purlutf banati hai, jis sey na sirf aurat ki sehat achi hoti
hai, age bhi lambi hoti hai bul kay iss ki dard ko bardasht karney ki
salahiyat mein bhi izafa hota hai. (Mobeen: Time: Hyde)
Choti Umer Ki Shadi Aurat Ki Sehat Ko Muta'assir Karti Hai?
Kuch logon ka khayal hai kay agar larki ki shaadi
choti age mein kar di jaey to iss ki sehat kharab ho jaey gi. Yeh baat
ghalat bhi hai aur durust bhi. Yani jab aurat hamla (pregnant)
hoti hai to iss doran isey apney liye aur bachey kay liye khoorak ki
zaroorat hoti hai. Yani ek kay bajaey 2 afrad kay liye khoorak. Ab agar
donon ko achi khoorak milti hai to aurat ki sehat per kisi tarhan kay
burey asraat nahi partey. Issi tarhan bachey ki paedaesh kay baad
bachey ko milk pilaney ki soorat mein bhi aurat ko achi aur behter
khoorak ki zaroorat hai. Agar isey achi khoorak hasil hai to phir iss ki
sehat muta'assir nahi hoti lekin agar