Low Libido - Lack Of Sexual Desire
Low Libido - Lack Of Sexual Desire - Reasons
Low Libido Reasons - Lack Of Sexual Desire
Low Libido Reasons - Lack Of Sexual Desire
Iss
maqsad ka hussol jald bhi ho sakta hai aur der ba'ad bhi ta'hum
mustaqil mizaji sey mushq ko jari rakhein agar yeh mushqein aap kay
maqsad kay husool kay liye mufeed sabit na hun to phir kisi achey mahir e
nafsiyat sey baqaeda elaj karaein Allah ney har maslay ka hull paeda
kya hai.
Jinsi Khwahish Ki Kami (Low Libido)
Aam
tor per mian biwi ki jinsi dilchaspi (libido) aur khwahish ek jaisi
nahin hoti bul kay donon mein farq hota hai kahin aurat ki jinsi
khwahish zyada hoti hai aur kahin mard ki waisey yeh sochna aur tasawwur
karna bhi na ma'aqooliyat hai kay do mukhtalif afraad ek jaisi ek jitni
jinsi khwahish rakhtey hun jinsi khwahish
ka ikhtilaaf aam doosrey ikhtilaaf ki tarah hai maslan kisi ko baerooni
sargarmiyan pasand hain to doosrey ko gharelu ek ko football pasand hai
to doosrey ko cricket ta'hum inn ikhtilafaat sey nipatney ka behtreen
tariqa kuch maano aur kuch manwao ka usool hai aur yehi usool mian biwi
ki mukhtalif jinsi khwahishaat kay silsilay mein bhi ikhtiyar karna hoga
ek doosrey kay jinsi jazbaat ka ehtraam karna hoga. Iss surat
mein zindagi bohut khushgawar hogi. 1972 kay ek survey kay mutabiq aam
jorey ausatan haftey mein do baar jinsi amal sey lutf andoz hotey hain
magar umar barhney kay sath iss mein kami aa jati hai.
Magar ba'az auqaay fard ki jinsi khwahishat aur dilchaspi aohut kam ho jati hai aur ba'az ki bilkul hi khatam ho jati haiLow Libido - Lack Of Sexual Desire - Reasons
Ek american survey mein 35% khawateen aur 16% mardon ney sex mein adum
dilchaspi ka izhar kya kuch khawateen ki jinsi khwahish (libido) ahista
ahista khatam hoti hai aur kuch ki ek dum khatam ho jati hai ba'az
khawateen ko kisi moqa per khwahish hoti hai aur kisi doosrey moqa per
nahin hoti iss ki wajah janney kay liye record rakhein aur
baghor jaeza lein kay kab khwahish hoti hai aur kab nahin hoti amooman
aisa ho sakta hai kay jab aap relax hun to khwahish ho magar jab tense
hun to adum dilchaspi ka shikaar ho jaein ba'az auqaat jora kisi wajah
sey sex tark kar deta hai maslan beemari, laraee jhagrey, zehni dabau
aur muashi pareshani waghaera yeh bhi khwahish mein
kami ka sabab ban saktey hain. Ba'az auqaat sex ko doobara shuru karna
mushkil ho jata hai jab lamba arsa sex na ki jaey to isey dobara shuru
karna zara mushkil ho jata hai. Hum aap ko batein gey kay aap kis tarah
apni jinsi dilchaspiyon ko bahaal kar saktey hain magar iss sey pehley
jinsi khwahish ki kami (low libido) ki wajoohaat ko janna hoga.
Jinsi Khwahish Ki Kami Ki Wajoohaat (Low Libido Reasons)
Iss masley ki wajoohaat nafsiyati kay elawa jismani bhi ho sakti hain
mahireen kay khayal kay mutabiq jismani ya medical wajoohaat 10% ta 20%
ho sakti hain jab kay zyada ter wajoohaat nafsiyati hoti hain ahem
wajoohaat darj zael hain:
- Manfi Jinsi Ta'aleem o Tarbiyat (negative sexual training)
Low Libido Reasons - Lack Of Sexual Desire
2. Mubashrat Mehramaat (incestous experience)
Ba'az
auqaat larkiyan bachpan mein qareebi azizon maslan chacha, maamoon,
bhai hatta kay walid waghaera ki jinsi zyadti ka nishana ban jati hain
phir shadeed ehsaas-e-gunah ki wajah se bachiyan sex mein dilchaspi kho
deti hain.
3. Zina biljabr
Zina
biljabr jinsi dilchaspi mein kami ki ek ahem wajah hai waqe'aa guzarney
kay mahinon, ba'az auqaat saalo'n ba'ad bhi fard khauf ka shikar hota
hai phir shaadi kay ba'ad ju'nhi jinsi amal honey lagta hai to wahi
khauf jinsi khwahish ko kam kar deta hai.
4. Zehni Daba'u Aur Thakawat (stress and fatigue)
Jinsi khwahish mein kami ki ek bari
wajah kaam ka daba'u hai kaam dafter ka ho ya ghar ka ya bachin ki
zimme daariyan iss tarah thakawat ki wajah se bhi jinsi khwahish kam ho
jati hai aisi surat mein amooman chuttiyon mein yeh khwahish barh jati hai.
5. Boriyat (boredome)
Ek
survey mein kuch khawateen ne bataya keh shaadi kay ibteda'ee dino'n
mein unki jinsi khwahish bohut zyada thi magar ek do saal ba'd kam ho
gaee ek aadh saal ba'ad sex routine ban jati hai hatta kay ek pasandeeda
dish bhi roz kha kar boriyat ho jati hai.
6. Jazbaati Sadma (emotional trauma)
Ba'az auqaat khawand kay kisi aur aurat se ta'alluqaat qayem ho jatey hain ju'nhi biwi ko ilm hota hai to uski jinsiLow Libido Reasons - Lack Of Sexual Desire
Dilchaspi
aur khwahish khatam ho jati hai iss tarah bachey ki paeda'esh,
mulazimat ka khatima, kisi qareebi aziz maslan walaeden aur behen bhai
ki wafat kay ba'ad amooman jinsi khwahishat kam ho jati hain. Ba'az
beemariyon ki wajah sey aurat ka pistaan kaat diya jata hai ya rahem
nikal diya jata hai yeh aurat kay liye ek sadma hai jo iss kay jinsi
jazbaat ko manfi tor per muta'assir karta hai.
7. Mian Biwi Kay Kharab Ta'alluqaat (relationship problems)
Mian
biwi kay aapas kay ta'alluqaat joray ki jinsi zindagi per asar andaz
hotey hain agar aap ki jinsi khwahish mein kami ho chuki hai magar aap
doosrey logon ko dekh kar jinsi tor per mushta'el hoti hain, inko dekh
kar romantic mehsoos karti hain to
aap kay masley ki wajah ba'hmi ta'alluqaat ki kharabi hai. Dil mein ek
doosrey kay khilaf ghussa, ek doosrey per ilzam tarashi waghaera
bharpoor jinsi ta'alluqaat mein bohut bari rukawat hain, thori bohut tuu takar to har ghar mein hoti hai magar jab yeh zyada ho jaey ya mustaqil surat ikhtiyar kar ley to phir iss tarah kay masa'el paeda ho jatey hain.
8. Jinsi Adum Itmenan (lack of sexual satisfaction)
Agar aap jinsi tor per apney khawand sey khush nahin
to aap ki jinsi khwahish mein kami ki wajah yehi adum itmenan hai.
Humeray haan khawateen ki jinsi khwahish mein kami ki sab sey bari wajah aurat ka jinsi adum itmenan hai. Jinsi itmenan hasil karney kay
chund makhsoos tareqey hain agar khawand inn sey aagaah ho to adum
itmenan ka masla paeda nahin hota. Humaray haan mard aur aurat donon inn
tareeqon sey aagaah nahin jis ki wajah sey na khawand biwi ko mutma'en
kar pata hai aur na biwi khud apney aap ko sukoon dey sakti hai.