Infertility In Men - Baanjhpan

Banjhpan (Infertility In Men) 

    Aaj kal banjhpan ka masla kafi aam hai. 5 couples mein sey 1 couple iss ka shikar hai (Rashid Latif) iss mein kabhi mard mein problem hota hai aur kabhi aurat mein aur kabhi donon mein. Ek research kay mutabiq banjhpan kay responsible 33% mard hotey hain. 33% aurtein hoti hain aur 33% donon hotey hain. Mardon kay banjhpan ki ek hi wajah hoti hai. Inn kay active motile sperms ki tadaad kam hoti hai. Mard kay ek baar discharge honay per mani (semen) ki miqdaar average 3.5ml hoti hai (mera ek patient ki miqdaar 8ml thee) jis mein 20 crore sey 1 arab sperms hotey hain. Average 40 crore sperm hotey hain. Mard ki body mein rozana 30 crore sperms bantey hain. Garmi aur zyada exercise sperms ki tadaad ko kam karti hai. Lekin agar 3 months garmi sey door raha jaey aur 3 month exercise na ki jaey to halaat normal ho jatey hain. Iss kay elawa shadeed beemari, sakht mehnat aur stress bhi sperms ki tadaad ko kam kartey hain. Computer per zyada der bethney sey bhi sperms ki tadaad kam ho jati hai. Bachey ki paedaesh kay liye sirf ek sperm ki zaroorat hai magar ek sperm ka fallopian tubes tak pohonchney kay liye kam sey kam 3 crore sperms ki zaroorat hai. Bohut sey rastey mein hi mar jatey hain aur bohut sey ghalat tube mein chaley jatey hain. 2 tube mein sey kisi ek mein egg hota hai. Yani bachey ki paedaesh kay liye kam sey kam 3 crore sperms ki zaroorat hai. Iss soorat mein amooman beti paeda hoti hai. Kabhi kabhi 2 crore sperms sey bhi bacha paeda ho jata hai.

Infertility -Banjh Pan

InfertilityIn Women - Baanjhpan

 Jab kay test tube kay liye sirf 50,000 sperms ki zaroorat hai. Test tube mein amooman larki paeda hoti hai. (Shettles) Duniya ki pehli test tube baby 1976 mein England mein paeda hui. Lahore mein bhi yeh sahoolat mojood hai. Aaj kal science ki taraqqi ki wajah sey sperms ki tadaad mein ezafa karna mumkin hai. Naujawano ko chahiyie kay shadi sey pehley apna sperm count check kara lein. Agar kam ho to kisi achey doctor sey adviyat (medicine) lein.  

    Aurton mein baanjhpan (infertility in women) ki kaee wajoohaat (causes) hoti hain. Kabhi fallopian tube band hoti hai. Kabhi inn mein koi kharabi hoti hai. Kabhi ovaries sahi tor per kam nahi kar rahi hoti. Kabhi egg puri tarhan tayyar nahi hotey. Kabhi egg fallopian tube mein nahi utartey. Inn sab ka elaj mumkin hai. Lehaza shadi kay baad ki pareshanion sey bachney kay liye behter yehi hai kay larkian kisi gynecologist sey apna checkup karalein aur agar zaroorat ho to elaj kara lein.

Jinsi Beemariyan: (Sexually Transmitted Diseases)
    Aisi beemariyan jo jinsi milap kay zariye ek shakhs sey doosrey shakhs ko transfer ho jati hain. Yeh bohut si hain magar zyada ahem Gonorrhoea aur Syphillis hain. Yeh beemari azab e elahi hai. Yeh mardon aur aurton dono ko hojati hai. Yeh bhayanak beemariyan bachon ko bhi transfer hojati hai. Baaz auqat yeh beemariyan fori zahir nahi hoti bul kay kafi der kay baad zahir hoti hain.


Sexually Transmitted Diseases - Sexual Perversions

 Yeh STD's (jinsi beemariyan) usually prostitutes, animals aur anus mein mubashrat (Intercourse) ki wajah sey paeda hoti hain. Gonorrhea mein penis ki nali mein infection ho jata hai aur syphilis mein penis kay ooper blister per jatey hain jo baad mein jism kay doosrey hisson mein phael jatey hain. Gonorrhea aur syphilis kay elawa hepatitis aur aids jaisey mohlik amraz bhi mubashrat (Intercourse) kay zariye doosrey afrad ko transfer ho jati hain. Yeh beemariyan oral sex aur anal sex mein zyada aasani sey transfer hoti hain. Junhi aap apney makhsoos organ yeh iss kay erd gird acne, pimples, blisters dekhein ya peeshab ki nali sey pus aaney lagey to foran kisi urologist sey contact karein. Elaj na karaney ki soorat mein yeh beemari aap ki wife ya husband ko aur phir aaney waley bachon ko transfer ho sakti hai. (Hyde: Reuben)

Jinsi Beyrahrawi (Sexual Perversions) 

    Jinsi khwahish ki takmeel kay liye normal aur fitri zariya shadi kay baad aurat kay sath mubashrat (Intercourse) karna hai. Jinsi taskeen kay doosrey zariye ghaer fitri hain jin ko jinsi beyrahrawi kaha jata hai. Sexual perversions ka shikar zyada tar mard hotey hain. Psychiatrists ka dawa hai kay aisey aksar afraad ka elaj kar kay unko theek kya ja sakta hai. Humney khud bohut sey aisey afrad ki help kari. Jinsi beyrahrawi ki bohut si aqsaam hain. Chund ahem ka mukhtasir zikr kya jata hai. (StorrHyde)

Enahance Sex Power

Chapter -2
Mardana Quwwat Mein Izafa
(Enhancing Sex Power)
Duniya mein har fard mardanaa quwwat mein izafa chata hai. Hakeem iss hawaley sey khususi course use karney ki sifarish kartey hain. Jis ki koi haqeeqat nahi. Mardana quwwat kay liye achi zehni aur jismani sehat zaroori hai. Iss tarhan achi zehni aur jismani sehat kay liye bhar poor sex ki zaroorat hai. Agar fard zehni aur jismani lehaz sey sehat mand ho to woh last time tak jinsi amal kay qabil hota hai. Achi jinsi sehat kay liye aap ko shaori koshish karna hogi. Bharpoor jinsi sehat aur sex power (mardana quwwat) kay liye mandarjazail baaton per amal karein.
  1. Khooraak
Hamesha mutawazin aur kam khoorak khaya karein. Allah Ta'ala kay Nabi Hazrat Muhammad (P.B.U.H) ka irshad hai kay kabhi paet bhar kar khanaa naa khaya jaey. Khoorak kam chiknaa (Low Fat) wali ho. Amoomi sehat kay liye taza vegetables aur fruits mufeed hain. Balaee nikla milk aur mukammal eggs kay bajaey sirf iss ki safaidi li jaey. Gosht mein chicken ziyada mufeed hai. Iss kay elawa vitamin C, D aur E ka baqaida use kiya jaey. Cholestrol aur Friglyceride ko barhney naa dein.
Humarey yahan Allah Ta'ala kay Nabi Hazrat Muhammad (P.B.U.H) kay saath ek baat mansoob hai ka Hazrat Jibrail Hazrat Muhammad (P.B.U.H) ko mardanaa quwwat mein izafai kay liye jannat sey hareesa la kar diya tha jis sey aap ki sex power (mardana quwwat) mein bohut ezafa hogaya.

education

Lack Of Sex EducationSex Education

Aala ta'aleem kay ba'ad America sey wapsi per meine Bahawalpur division kay ek chotey sey sheher Chishtiya'n main apna anfsiyati clinic shuru kya. Mera pehla mareez ek ma'amooli parha likha dehaati naujawan tha jis ki inhi dino'n shadi hui thi magar yeh naujawan kaee maah guzarney kay bawajood apni biei sey azdawajii ta'alluqaat qa'em karney mein kaamyaab na hosaka. Doctors kay mutabiq woh bilkul normal tha yani usey koi jismani masla nahi tha. Pehli mulaqat mein uss kay masley per amoomi guftugoo hui phir usey elaj kay liye chund din ba'ad bulaya magar who na aaya, mein bhi uss naujawan ko bhool gaya. Ek maah ba'ad achanak uss kay barey bhaee sey mulaqat hui, meine uss naujawan kay muta'alliq poocha, uski aankh sey aansoo nikal aaey uss ney aansoo ponchtey huey bataya kay uss ney khudkushi karli.


Dar asal woh abhi tak azdawajii ta'alluqaat qa'em na kar paya tha, uss ko yaqeen tha kay who iss qaabil nahin haala'n kay uss kay saarey tests normal thay, phir sharmindagi sey bachney kay liye ek andheri raat biwi ko ley kar ga'on sey baher aaya pehley biwi ko ek darakht kay sath latka diya phir khud bhi ussi darakht kay sath jhool gaya. Haqeeqat yeh thi kay usey koi jinsi masla nahin tha, uska masala sirf nafsiyati tha. Uss ney humein mohlat na dii kay hum uski madad kartey haala'n kay aaj kay ilmi daur mein iss tarah kay masley ko aasaani sey hal kya ja sakta hai. Hum iss tarah kay masail har roz hal kartey hain.

Naujawanon Kay Masail Aur Unka Hal By Prof Arshad Javed
Iss kay elawa apni shagird mahir e nafsiyat Uzma Butt, Rizwana Hashmi aur Haleema Saadia ka bhi shukar guzar hun kay unhon ney kitab kay larkiyon waley hissey ka ja'eza liye aur mufeed mashwarey diye.

Apney American dost janab AbdulHaleem Khan aur bhateejey Hafiz Ishtiaque Ahmed (london) ka khaas tor per mamnoon hun jinhon ney mujhey iss mozou per meyari aur taza tareen (latest) kutub bhijwaee'n jin sey mein ney bharpoor faeda uthaya.

Aakhir mein apni honey biwi ka bey hudd shukar guzar hun jinhon ney humesha merey aaram aur such ko har kaam per tarjeeh dii aur kitab likhney kay doran mujhey har sahoolat, aaram aur sukoon muhayya kiya.

Harf e Aaghaz

Chund saal pehley ek ma'aroof idaarey ney mujhey "Naujawano'n Kay Masail" per lecture ki da'awat dii. Ghaliban Pakistan bhar mein iss tarah khuley aam jins (sex) jaisey nazuk mozou per guftugoo ka yeh pehla moqa tha. Naujawan shurka'a ney iss lecture mein bohut zyada dilchaspi lii chunancha kuch arsey ba'ad isi idaarey ney mujhey phir isi mozou per izhar e khayal ki da'awat dii. Iss martaba taqreeban 19 jinsi mughalito'n (sexual misconceptions) ki haqeeqat beyan ki gaee jinhon ney naujawano'n ki zindagi ko tabah kar rakha tha. Naujawan shurka'a ka khayal tha kay inn ma'aloomaat ney unn ki zindagi mein aasani paeda ki aur masail kay bojh ko kam kya. Lehaza yeh ma'aloomaat Pakistan kay har naujawan tak pohonchni chahiyien.

Sex Education - Research Ki Zaroorat
Sex Education In Urdu

Iss guftugoo kay ba'ad mehsoos hua kay iss mozou per mazeed muta'alla aur research ki zaroorat hai. Humarey haan iss mozou per meyari kutub na honay kay baraber hain. Chunancha America aur Europe mein apney doston ko likha, iss tarah meyari aur taza kutub hasil kiin aur unn sey faeda uthaya. Iss kay elawa Karachi kay ma'aroof psychiatrist, sabiq member subaee assembly aur rukun jama'at e islami Dr. Syed Mobeen Akhter ki tehreeron sey bhi merey ilm mein izafa hua. Pakistan mein dastyab aksar kutub jahalat aur bey ilmi ka shahkaar hain. Sex kay hawaley sey jitney yeh neem hakeem jaahil hain, shayad hi koi doosra ho. Teen saal kay muta'alley aur tehqeeq ka nichorr humney ek seminar ki surat mein Lahore mein Mall Road per Alhamra Hall mein free paesh karna shuru kya. Logon ki dilchaspi ka yeh aalam tha kay hall mein til dharney ki jagah nah hoti thi. Taqreeban 99% logon ney isey bey hudd pasand kya. Inn kay khayal mein yeh ek mufeed koshish hai jab kay 1% ney kaha kay hum fahaashi phela rahey hain. Humarey kuch khaer khwaho'n (well wishers) ney humein mashwara diya kay hum zara ehtiyat karein aur hakeemo'n ka zikr na karein warna who aap ko qatal kara deingey kyun kay aap unn kay rizq per laat maar rahey hain.


Iss doran humney sex kay hawaley sey chund ahem issues per Lahore kay ma'aroof ulma'a ki khidmat mein ek sawal naama irsaal kya. Aksar ulma e karaam ney shayad masail ko ghaer ahem samajhtey huey jawab nah diya ya shayad woh iss mozou per apni ra'ey detey huey ghabratey hain lekin aap ittefaq karein gey kay aankhein bandh karney sey masail khatam nahin hongey. Unn ka saamna karna aur unn ka hal dhoondhna zaroori hai.

Sex Education For Children
Hum jinsiyat (homosexuality) na sirf gunah hai bul kay khatarnak jinsi bemariyon khusoosan AIDS waghaera kay phaelney ka mu'asser zarya hai. Kya naujawan nasal ko iss baat ka ilm nahin hona chahiyie kay mian biwi kay jinsi ta'alluqaat per sharmindagi ki koi baat nahin, yeh koi buri cheez nahin. Allah kay nabi ney biwi kay sath mubaashirat ko naeki aur sadqa qaraar diya hai. Iss tarah kyalarkiyon ko yeh ilm nahin hona chahiyie kayhaez koi bemari nahin bul kay ek fitri cheez hai jo inn ki baloghat aur takmeel ki alamat hai. Kya bachiyon ko yeh ilm nahin hona chahiyie kay leucorrhea koi beemari nahin.

Agar aap bachon ko Quran o sunnah aur jadeed ilm ki roshni mein khud jinsi ta'aleem nahin deingey to bachey yeh ma'aloomat apney doston, deewaro'n per ishtehaaraat aur ghaer meyari kutub sey hasil kareingey jo taqreeban 100% ghalat aur gumrahkun hoti hain. Ek research kay mutabiq bachey taqreeban 50% jinsi ma'aloomat doston aur 21% kutub sey hasil kartey hain(Hyde). Budqismati sey bacho'n kay doston ki ma'aloomaat durust hoti hain na hi humarey haan iss mozou per meyaru kutub mojood hain.

Iss hawaley sey ek sawal yeh paeda hota hai kay bachon ko jinsi taleem kab dii jaey. Iss silsiley mein Quran majeed sey rehnumaee milti hai. Who bachey jinki madri zuban urdu hai woh ju'nhi Quran Majeed parhna shuru kartey hain unn ki sex education bhi shuru ho jati hai. Amooman bachey 9 ya 10 saal ki umer mein Quran majeed parhna shuru kar detey hain. Mashhoor huftroza Time kay ek survey kay mutabiq awam ki aksaryat ka khayal hai kay jinsi ta'aleem 12 saal ki umer sey shuru ho jab kay walaedaen ka khayal hai kay bachon ki jinsi ta'aleem baloghat sey pehley shuru nahin honi chahiyie magar haqeeqat yeh hai kay bacha apni jinsi ta'aleem apney ibtedaee saalon mein shuru kar deta hai

jinsi lihaz

introduction


Intercourse - Mubashrat
Mukammal dakhool sey parda e bakarat (Hymen) phutt jaeyga. Kuch khoon nikley ga aur biwi ko kuch takleef bhi hogi magar isey bey panaah lazzat hasil hogi. Parda e bakarat (Hymen) phatney ki soorat mein uss raat mubashrat (intercourse) naa karein. lekin agar biwi ko zyada takleef naa ho to iss ki khushi aur marzi sey mubashrat (intercourse) ki ijazat hai. Agar blood naa nikley to bhi pareshan naa hun. Iss ki kaee wajoohaat ho sakti hain. Baaz aurton ka parda e bakarat (Hymen) paedeshi tor per hota hi nahi. Baaz ka baghaer blood nikley phat jata hai aur baaz bachiyon ka khael kood aur haez (menses) kay days mein safai kartey huai phat jata hai. Baaz khawateen ka parda e bakarat (Hymen) lachak daar hota hai woh phatta hi nahi aur yeh bachey ki paedesh per hi phatta hai. First 2 or 4 mubashrat (intercourse) mein aurat ko kuch takleef hoti hai phir takleef nahi hoti aur phir lutf hi lutf. Mard kay inzal sey pehley aik shafaf maddey kay chund qatrey zakar sey nikaltey hain. Yeh koi beemari nahi. Yeh copwer gland sey nikalnay wala solution hota hai jis ki wajah sey sperm aasani kay saath swim kartey huai bahir aajatey hain. Iss ki wajah sey peeshaab ki naali chikni hojaati hai jis ki wajah sey mani (semen) aasani kay saath bahir nikal aati hai.
Baaz auqaat faraj bohut tang hoti hai yeh jinsi stimulation ki wajah sey faraj ki entrance mein ziyada blood ajanay ki wajah sey faraj swell honay ki wajah sey tang hojaati hai. Aisi sorat mein dakhool bohut mushkil hoti hai. Iss sorat mein aap 20-30 mint kay foreplay kay baad apni shahadat wali ungli chikni karkay faraj mein ahista ahista dakhil karein. Iss kay sath sath biwi sey kahein kay woh faraj kay muscles ko dheela chordey.

First Intercourse - Pehli Mubashrat
Iss sey kam takleef hogi. Kuch der ungli ko sakin rakhein. Thori der baad ungli ko ander baher harkat dein. Jab biwi isey bardasht karley to phir ungli kay saath wali 2 fingers chikni karkay faraj mein ahista sey dalein aur biwi faraj kay muscles ko dheela chordey. Kuch der baad inn ko ander baher harkat dein. Iss sey amooman parda e bakarat (Hymen) phat jata hai. Kuch blood nikalta hai aur mamoli si takleef bhi hoti hai magar iss sey zaberdast jinsi josh bhi paida hota hai. Jab biwi 2 fingers bardasht karley to phir zakar ka dakhool aasan hojata hai. Blood band honay per aap apney zakar ko chiknaa karein aur tareeqa number 1 (Missionary method) kay mutabiq ahista ahista faraj mein dakhil karein aur ahista ahista jhatkay lagain. Jhatkay laganay kay saath saath aik chikni ungli sey clitori aur doosri hath sey biwi kay pistaan ko mushta'el karein. Taqreeban 80% khawateen ko orgasm kay husul kay liye inkay bazer (clitoris) ko mushta'el karna zaroori hai Warna woh orgasm hasil naa kar sakayngi. Inzal kay qareeb ruk jaeyn aur paet sey lambai lambai breath leyn. Inzal ka waqt guzar janay kay baad phir isi amal ko dubara karein. 2-4 times iss amal ko karein kay baad discharge hojaeyn. Agar parda-e-bakarat (Hymen) phutt (rupture)d honay sey biwi ko ziyada takleef ho to zakham kay ko bharnay tak 1 or 2 days mubashrat (intercourse) nahi karein. Agar biwi mubashrat (intercourse) mein bhar poor tawun karey aur apney jism ko bilkul dhela chor dey to pahli mubashrat (intercourse) mein isey ziyada takleef naa hogi. Itercourse sey pehley dua pharnaa naa bholeyn. Dakhool kay baad donon mian biwi per ghusl wajib hojata hai. Chahey inzal ho ya naa ho.

Dobara Mubashrat Karna
Shuru shuru mein jinsi jazbaat bharpoor hotey hain aur amooman insan aik sey ziyada bar mubashrat (intercourse) karta hai. Agar aap dobara mubashrat (intercourse) karna chahein to zakar ko dholein. Wazoo karna afzal hai (Muslim) har naee mubashrat (intercourse) sey pehley wazoo karliya jaey ya zakar ko dho liya jaey. Yeh sab cheezein Allah kay Nabi Hazrat Muhammad (P.B.U.H) sey sabit hain. Agar aap mubashrat (intercourse) kay baad sona chahtey hain to behtar hai kay zakar ko dho kar wazoo karleyn (Mauta Imam Malik) tayammum bhi kiya ja sakta hai (Behqi) y sirf zakar ko dho kar sojaeyn (Muslim).

jinsi tamul ka tareeqa

Exploring Female Body
Iss kay liye zaroori hai kay aurat apney poorey jism ko mukhtalif andaaz sey explore karey maslan chuuna, sehlaana, thapthapana, bheenchna, kaatna, masaj karna, chuumna, chaatna waghaera aur janey kay uska konsa hissa kis tarah jinsi tor per jald mushta'il hota hai aur phir apney mian ko bataey kay woh usey kis tarah mushta'il karey taa kay woh bhi jald orgasm hasil karley.
Doosra tareeqa yeh hai kay khawand biwi kay saarey jism ko mukhtalif tarah sey explore karey maslan chuu'ey, sehlaaey, thapthapaey, bheenchey, kaatey, masaj karey, chuumey, chaatey waghaera iss doran biwi apni poori tawajja apney ehsaasaat per markooz karey aur mian ko bataey kay woh uss kay kis hissey ko kis tarah mushta'il karey. Usey bataey kay usey kya karna acha lagta hai, phir jab mian wahi kuch karey ga to woh azdawajii khushyo'n sey bharpoor lutf uthaey gii. Mahireen ka khayal hai kay bharpoor azdwajii khushyo'n kay liye khawand ka biwi kay jism ko dekhna aur jan'na bohut zaroori hai.
Iss mashq kay liye 30 minute sey ley kar 60 minute ek haftey kay liye rozana mukhtas karein, koshish karein kay iss doran koi aap ko disturb na karey apney kamrey mein chali jaein, kamrey ka temperature normal ho, na garmi ho na sardi, apney saarey kaprey bhi utaar lein. Ek barey aaeiney kay saamney kharey ho kar apney jism ka achi tarah jaeza lein, mukhtalif hisso'n ko dekhei'n kay kaisey lag rahey hain, apney khawand ki nazar sey dekhei'n, 10 minute kay ba'ad apney sarey jism per ungliya'n phaerein aur note karein kay kaisa lagta hai


Chapter - 2
Mardana Quwwat Mein Izafa
(Enhancing Sex Power)
Duniya mein har fard mardanaa quwwat mein izafa chata hai. Hakeem iss hawaley sey khususi course use karney ki sifarish kartey hain. Jis ki koi haqeeqat nahi. Mardana quwwat kay liye achi zehni aur jismani sehat zaroori hai. Iss tarhan achi zehni aur jismani sehat kay liye bhar poor sex ki zaroorat hai. Agar fard zehni aur jismani lehaz sey sehat mand ho to woh last time tak jinsi amal kay qabil hota hai. Achi jinsi sehat kay liye aap ko shaori koshish karna hogi. Bharpoor jinsi sehat aur sex power (mardana quwwat) kay liye mandarjazail baaton per amal karein.
  1. Khooraak
Hamesha mutawazin aur kam khoorak khaya karein. Allah Ta'ala kay Nabi Hazrat Muhammad (P.B.U.H) ka irshad hai kay kabhi paet bhar kar khanaa naa khaya jaey. Khoorak kam chiknaa (Low Fat) wali ho. Amoomi sehat kay liye taza vegetables aur fruits mufeed hain. Balaee nikla milk aur mukammal eggs kay bajaey sirf iss ki safaidi li jaey. Gosht mein chicken ziyada mufeed hai. Iss kay elawa vitamin C, D aur E ka baqaida use kiya jaey. Cholestrol aur Friglyceride ko barhney naa dein.
Humarey yahan Allah Ta'ala kay Nabi Hazrat Muhammad (P.B.U.H) kay saath ek baat mansoob hai ka Hazrat Jibrail Hazrat Muhammad (P.B.U.H) ko mardanaa quwwat mein izafai kay liye jannat sey hareesa la kar diya tha jis sey aap ki sex power (mardana quwwat) mein bohut ezafa hogaya.