Pages

Frigidity In Women - Khawateen Mein Sardmehri

Sardmehri (Frigidity In Women)
    Sardmehri mein aurat mein na sirf jinsi jazbat nahi hotey bul kay woh jinsi amal sey koi raghbat nahi rakhti. Aisi aurtein orgasm yani jinsi urooj hasil nahi kartiin. Aisi kuch aurtein mukammal sardmehri ka shikar hoti hain aur kuch nisbatan kam. Agarcha inn aurton mein jinsi khwahish (libido) aur raghbat aam aurton sey kam hoti hai. Taham yeh mubashrat (Intercourse) per aamada ho jaein to yeh orgasm hasil kar leti hain. Frigidity ki jismani wajah bohut kam hoti hai maslan mubashrat mein pain (Painful Intercourse). Dhaka hua bazer (Clitoris) ya vagina mein infection waghaera. Iss ki bari wajah nafsiyati hoti hai maslan mubashrat (Intercourse) ka khauf, pregnancy ka khatra, ahsas e gunah aur bachpan mein sexual abuse waghaera.
Menopause 
    Menopause sey murad woh daur hai jab aurat ki mahwaari (menses) band ho jati hai aur woh bacha paeda karney kay qabil nahi rehti. Bohut si aurtein iss mein jismani, nafsiyati aur jinsi lehaz sey bilkul normal zindagi guzarti hain. Usually last mahwaari (menses) mein 12 month kay baad 50 saala aurat banjh ho jati hai aur aulad paeda nahi kar sakti. Lekin ab aisi technology mojood hai jis ki wajah sey aurat iss kay baad bhi pregnant ho sakti hai. Magar aurton ki ek big tadaad 90% menopause mein apney jism aur personality mein bohut sey changes mehsoos karti hain. Menopause ki sab sey bari alamat garmi ka ehsas, hot flashes hain. Iss mein aurat kay jism mein garmi ki ek lehar dorr jati hai. Garmi ka ahsas sab sey pehley chest mein hota hai phir gardan aur face mein.

Leucorrhea Treatment

 Neem hakeem leucorrhea ko bohut khatarnak beemari qarar detey hain jab kay yeh koi beemari nahi aur na hi khatarnak hai. Iss ki wajah usually kharab sehat, constipation aur khoon ki kami waghaera hoti hai. Iss discharge ki wajah sey ghusl farz nahi hota aur na hi iss sey kaprey napak hotey hain. Iss doran apney khas organ ko saaf rakhein. Wuzu karein aur namaz parhein. 
    Agarcha leucorrhea koi beemari nahi magar phir bhi neem hakeem apni jehalat ki wajah sey iss kay bohut sey nuqsanat ka zikar kartey hain. Maslan iss sey kamar mein dard hota hai. Legs heavy mehsoos hotey hain. Tabiyat sust aur kahil ho jati hai aur kamzori bohut hoti hai. Jab tak yeh marz rahey pregnancy nahi hoti. Shadeed case mein halat bigarr jati hai. Face ka colour yellow ho jata hai. Hazma kharab rehta hai. Hand and legs thandey ho jatey hain. Thori si mushaqqat sey breath zyada hojati hai. Dil dhar dhar karney lagta hai aur mahwaari (menses) mein bhi disturbance ho jati hai. Homeo doctor Ali Asghar choudhary apni book mein likhtey hain kay "kamar mein dard, legs mein pain, headache, badan mein kamzori hojati hai. Zyada der tak yeh marz qaim rahey to sehat ka diwaliya nikal deta hai aur aurat chalti phirti lash ban kar zindagi sey bezaar ho jati hai." Yeh sab kuch 100% ghalat aur jehalat hai. Iss mein koi haqeeqat nahi.