Infertility -Banjh Pan

InfertilityIn Women - Baanjhpan

 Jab kay test tube kay liye sirf 50,000 sperms ki zaroorat hai. Test tube mein amooman larki paeda hoti hai. (Shettles) Duniya ki pehli test tube baby 1976 mein England mein paeda hui. Lahore mein bhi yeh sahoolat mojood hai. Aaj kal science ki taraqqi ki wajah sey sperms ki tadaad mein ezafa karna mumkin hai. Naujawano ko chahiyie kay shadi sey pehley apna sperm count check kara lein. Agar kam ho to kisi achey doctor sey adviyat (medicine) lein.  

    Aurton mein baanjhpan (infertility in women) ki kaee wajoohaat (causes) hoti hain. Kabhi fallopian tube band hoti hai. Kabhi inn mein koi kharabi hoti hai. Kabhi ovaries sahi tor per kam nahi kar rahi hoti. Kabhi egg puri tarhan tayyar nahi hotey. Kabhi egg fallopian tube mein nahi utartey. Inn sab ka elaj mumkin hai. Lehaza shadi kay baad ki pareshanion sey bachney kay liye behter yehi hai kay larkian kisi gynecologist sey apna checkup karalein aur agar zaroorat ho to elaj kara lein.

Jinsi Beemariyan: (Sexually Transmitted Diseases)
    Aisi beemariyan jo jinsi milap kay zariye ek shakhs sey doosrey shakhs ko transfer ho jati hain. Yeh bohut si hain magar zyada ahem Gonorrhoea aur Syphillis hain. Yeh beemari azab e elahi hai. Yeh mardon aur aurton dono ko hojati hai. Yeh bhayanak beemariyan bachon ko bhi transfer hojati hai. Baaz auqat yeh beemariyan fori zahir nahi hoti bul kay kafi der kay baad zahir hoti hain.


Sexually Transmitted Diseases - Sexual Perversions

 Yeh STD's (jinsi beemariyan) usually prostitutes, animals aur anus mein mubashrat (Intercourse) ki wajah sey paeda hoti hain. Gonorrhea mein penis ki nali mein infection ho jata hai aur syphilis mein penis kay ooper blister per jatey hain jo baad mein jism kay doosrey hisson mein phael jatey hain. Gonorrhea aur syphilis kay elawa hepatitis aur aids jaisey mohlik amraz bhi mubashrat (Intercourse) kay zariye doosrey afrad ko transfer ho jati hain. Yeh beemariyan oral sex aur anal sex mein zyada aasani sey transfer hoti hain. Junhi aap apney makhsoos organ yeh iss kay erd gird acne, pimples, blisters dekhein ya peeshab ki nali sey pus aaney lagey to foran kisi urologist sey contact karein. Elaj na karaney ki soorat mein yeh beemari aap ki wife ya husband ko aur phir aaney waley bachon ko transfer ho sakti hai. (Hyde: Reuben)

Jinsi Beyrahrawi (Sexual Perversions) 

    Jinsi khwahish ki takmeel kay liye normal aur fitri zariya shadi kay baad aurat kay sath mubashrat (Intercourse) karna hai. Jinsi taskeen kay doosrey zariye ghaer fitri hain jin ko jinsi beyrahrawi kaha jata hai. Sexual perversions ka shikar zyada tar mard hotey hain. Psychiatrists ka dawa hai kay aisey aksar afraad ka elaj kar kay unko theek kya ja sakta hai. Humney khud bohut sey aisey afrad ki help kari. Jinsi beyrahrawi ki bohut si aqsaam hain. Chund ahem ka mukhtasir zikr kya jata hai. (StorrHyde)