Click here to Download books in pdf

jinsi Tamul ka Tareeqa



Mardana Kamzori

Erectile Dysfunction

    Mardon ka ahem tareen masla Erectile Dysfunction (mardana kamzori) hai. Erectile dysfunction ko aam tor sey male impotence kaha jata hai.Iss mein ba'az auqaat to mard ko tana'u hota hi nahin ba'az afraad ko tana'u to hota hai magar dakhool kay waqt ek dum khatam ho jata hai aur kuch afraad ka tana'u dakhool kay ba'ad khatam ho jata hai jis ki wajah sey woh mubashrat ko jari nahin rakh sakta. Agar yeh masla kuch arsa jari rahey to ba'az intehaee surton mein naujawan pagal ho jatey hain aur ba'az khudkushi tak kar letey hain iss surat mein shaadi ka qayem rehna na mumkin nahin to bohut mushkil zaroor hai. Merey paas kaee aisey cases aaey jahan iss wajah sey alaehdgi ho gaee sharmindagi ki wajah sey yeh log jald elaj kay liye nahin aatey, amooman  yeh log surat e haal kafi bigarrney kay ba'ad aatey hain.
    Jab fard ko kisi bhi waqt tanau hota ho to iss ka masla jismani nahin bul kay nafsiyati hota hai yeh masla jawani mein taqreeban 100% nafsiyati hota hai aksar wajah naakami ka khauf aur khud lazzati kay hawaley sey kamzori ka khauf aur wahem hota hai albatta 40 saal ki umar kay baad bohut sey logon kay masley ki wajah jismani ho sakti hai. Yeh beemari ya kisi beemari ki adviyat kay side effects hotey hain.

Erectile Dysfunction Treatment

 Biwi agar chahey to woh apney mian ki madad kar kay uss ki izzat, jaan aur apni shaadi ko bacha sakti hai aaj kal yeh masla 100% qabil e elaj hai iss kay liye sab sey pehley biwi ko khud mardana kamzori ka elaj karney ki koshish karni chahiyie. Iss silsiley mein bunyaadi baat yeh hai kay agar biwi ko aisi surat e haal ka saamna ho to woh kabhi ghussey, pareshani aur afsos ka izhaar na karey, mian per tunz na karey bul kay uski hosla afzaee karey usey bataey kay woh bilkul normal hai aaj nahin to kal woh kamyaab ho jaey ga iss silsiley mein pareshan honay ki zaroorat nahin iss kaam kay liye saari umar parri hai.
    Erectile dysfunction (mardana kamzori) kay hal kay liye biwi mandarja zael tariqey ikhtiyar kar sakti hai.
Mian biwi rozana iss mushq kay liye kuch pursukoon waqt muqarrar karein behter hai kay yeh mushq raat ko sotey waqt ki jaey jab donon pursukoon hun biwi mian ko muskuratey huey khush aamdeed kahey khawand ko ehsaas na honey dey kay usey koi masla hai. Iss muahq mein biwi fa'aal (active) kirdar ada karey aur pehel karey mian ko bataey kay humney do haftey mubashrat nahin karni bul kay sirf foreplay sey lutfandoz hona hai iss sey khawand ka kaarkardagi ka khauf khatam ho jaey ga. Biwi mian kay jism per hath phaerey, bos o kinar (kissing) karey, uss kay sath liptey, bhaghal geer ho thori der kay ba'ad ek doosrey kay kaprey utaarein ya apney apney khud utarein. Ab uss kay seeney per hath phaerein uss kay nipples ko chumein, unn kay gird zubaan phaerein, choosein uss kay sath uss kay paet aur raanon per hath phaerein uss kay hath apney pistaanon per rakhein. Mian inn ko chaerey, sehlaey, choomey, choosey aap apney pistaanon sey uss kay

Rozana mushq kay liye aisa waqt taey karein jab donon bohut pursukoon hun sab sey pehley donon ek doosrey sey pyar o mohabbt aur bos o kinar karein peechey bataey gaey tariqey kay mutabiq foreplay kya jaey iss doran a'aaza e makhsoosa ko nahin chuna. Teesrey din foreplay kay doran khawand biwi kay hassas hisson (female genital organs), pistaanon aur a'aaza e makhsoosa ko bhi mushta'el karey. Iss silsiley mein biwi khawnd ka hath pakarr kar uski rehnumaee karey kay woh kis andaz sey biwi kay hassas hisson ko  khusoosan bazer ko mushta'el (clitoral stimulation) karey do din yehi mushq kii jaey. Paanchvein din ibteda'ee foreplay kay ba'ad mian biwi kay a'aaza-e-makhsoosa aur pistaanon ko mushta'el karey aur phir biwi mian ko mushta'el karey iss kay liye khawand pusht kay bul laet jaey, ghutney kharey hun aur pao'n bister per hun biwi khawand ki taangon kay darmyan iss tarah bethey kay uski taangein lambi hun jo khawand kay dharr kay donon taraf hun aur mian kay pao'n biwi kay donon taraf koolhon kay baraber hun. Saharey kay liye biwi peechey bister ya deewar kay sath taek laga ley phir biwi mian kay a'aaza-e-makhsoosa ko mushta'el karey zakar aur khusyon waghaera ko. Iss silsiley mein bataey kay iss kay kon sey hissey zyada hassas hain yeh bhi bataey kay zakar ko kitna bhee'nch kar pakrey, kitni sukhti aur kis raftaar sey rugrrein. Iss doran mard apni saari tawajjuh apney jinsi ehsaasaat aur lutf per markooz karey jab tana'u ho jaey to ek doosrey kay baazouo'n mein laet jaein tana'u khatam honay per biwi phir yehi  mushq karey jab tana'u honay lagey aur bharpoor tana'u ho to agla qadam mubashrat ka hai. Iss kay liye khawand pusht kay bul laet jaey uski taangein seedhi hun biwi apni taangon per wazan dal kar uss kay ooper bethey pehlay zakar ko mushta'el karney wali mushq

Jinsi Khwahish Ki Kami

Low Libido - Lack Of Sexual Desire

 Iss maqsad ka hussol jald bhi ho sakta hai aur der ba'ad bhi ta'hum mustaqil mizaji sey mushq ko jari rakhein agar yeh mushqein aap kay maqsad kay husool kay liye mufeed sabit na hun to phir kisi achey mahir e nafsiyat sey baqaeda elaj karaein Allah ney har maslay ka hull paeda kya hai.

Jinsi Khwahish Ki Kami (Low Libido)

     Aam tor per mian biwi ki jinsi dilchaspi (libido) aur khwahish ek jaisi nahin hoti bul kay donon mein farq hota hai kahin aurat ki jinsi khwahish zyada hoti hai aur kahin mard ki waisey yeh sochna aur tasawwur karna bhi na ma'aqooliyat hai kay do mukhtalif afraad ek jaisi ek jitni jinsi khwahish rakhtey hun jinsi  khwahish ka ikhtilaaf aam doosrey ikhtilaaf ki tarah hai maslan kisi ko baerooni sargarmiyan pasand hain to doosrey ko gharelu ek ko football pasand hai to doosrey ko cricket ta'hum inn ikhtilafaat sey nipatney ka behtreen tariqa kuch maano aur kuch manwao ka usool hai aur yehi usool mian biwi ki mukhtalif jinsi khwahishaat kay silsilay mein bhi ikhtiyar karna hoga ek doosrey kay jinsi jazbaat ka ehtraam karna hoga. Iss surat mein zindagi bohut khushgawar hogi. 1972 kay ek survey kay mutabiq aam jorey ausatan haftey mein do baar jinsi amal sey lutf andoz hotey hain magar umar barhney kay sath iss mein kami aa jati hai.
    Magar ba'az auqaay fard ki jinsi khwahishat aur dilchaspi aohut kam ho jati hai aur ba'az ki bilkul hi khatam ho jati hai

Low Libido - Lack Of Sexual Desire - Reasons
    Ek american survey mein 35% khawateen aur 16% mardon ney sex mein adum dilchaspi ka izhar kya kuch khawateen ki jinsi khwahish (libido) ahista ahista khatam hoti hai aur kuch ki ek dum khatam ho jati hai ba'az khawateen ko kisi moqa per khwahish hoti hai aur kisi doosrey moqa per nahin hoti  iss ki wajah janney kay liye record rakhein  aur baghor jaeza lein kay kab khwahish hoti hai aur kab nahin hoti amooman aisa ho sakta hai kay jab aap relax hun to khwahish ho magar jab tense hun to adum dilchaspi ka shikaar ho jaein ba'az auqaat jora kisi wajah sey sex tark kar deta hai maslan beemari, laraee jhagrey, zehni dabau aur muashi pareshani waghaera yeh bhi khwahish  mein kami ka sabab ban saktey hain. Ba'az auqaat sex ko doobara shuru karna mushkil ho jata hai jab lamba arsa sex na ki jaey to isey dobara shuru karna zara mushkil ho jata hai. Hum aap ko batein gey kay aap kis tarah apni jinsi dilchaspiyon ko bahaal kar saktey hain magar iss sey pehley jinsi khwahish ki kami (low libido) ki wajoohaat ko janna hoga.

Jinsi Khwahish Ki Kami Ki Wajoohaat (Low Libido Reasons)

    Iss masley ki wajoohaat nafsiyati kay elawa jismani bhi ho sakti hain mahireen kay khayal kay mutabiq jismani ya medical wajoohaat 10% ta 20% ho sakti hain jab kay zyada ter wajoohaat nafsiyati hoti hain ahem wajoohaat darj zael hain:

  1. Manfi Jinsi Ta'aleem o Tarbiyat (negative sexual training)
Agarcha islam mein shaadi kay ba'ad sex ko naeki aur sadqa qarar diya hai magar phir bhi la ilmi ki wajah sey sex ko amooman bura samjha jata hai jiski wajah sey yeh masla paeda ho jata hai.

Low Libido Reasons - Lack Of Sexual Desire
  2. Mubashrat Mehramaat (incestous experience)
    Ba'az auqaat larkiyan bachpan mein qareebi azizon maslan chacha, maamoon, bhai hatta kay walid waghaera ki jinsi zyadti ka nishana ban jati hain phir shadeed ehsaas-e-gunah ki wajah se bachiyan sex mein dilchaspi kho deti hain.

  3. Zina biljabr

    Zina biljabr jinsi dilchaspi mein kami ki ek ahem wajah hai waqe'aa guzarney kay mahinon, ba'az auqaat saalo'n ba'ad bhi fard khauf ka shikar hota hai phir shaadi kay ba'ad ju'nhi jinsi amal honey lagta hai to wahi khauf jinsi khwahish ko kam kar deta hai.

  4. Zehni Daba'u Aur Thakawat (stress and fatigue)
    Jinsi khwahish mein kami ki ek bari wajah kaam ka daba'u hai kaam dafter ka ho ya ghar ka ya bachin ki zimme daariyan iss tarah thakawat ki wajah se bhi jinsi khwahish kam ho jati hai aisi surat mein amooman chuttiyon mein yeh khwahish barh jati hai.

  5. Boriyat (boredome)
    Ek survey mein kuch khawateen ne bataya keh shaadi kay ibteda'ee dino'n mein unki jinsi khwahish bohut zyada thi magar ek do saal ba'd kam ho gaee ek aadh saal ba'ad sex routine ban jati hai hatta kay ek pasandeeda dish bhi roz kha kar boriyat ho jati hai.

  6. Jazbaati Sadma (emotional trauma)
    Ba'az auqaat khawand kay kisi aur aurat se ta'alluqaat qayem ho jatey hain ju'nhi biwi ko ilm hota hai to uski jinsi

Low Libido Reasons - Lack Of Sexual Desire
 Dilchaspi aur khwahish khatam ho jati hai iss tarah bachey ki paeda'esh, mulazimat ka khatima, kisi qareebi aziz maslan walaeden aur behen bhai ki wafat kay ba'ad amooman jinsi khwahishat kam ho jati hain. Ba'az beemariyon ki wajah sey aurat ka pistaan kaat diya jata hai ya rahem nikal diya jata hai yeh aurat kay liye ek sadma hai jo iss kay jinsi jazbaat ko manfi tor per muta'assir karta hai.

  7. Mian Biwi Kay Kharab Ta'alluqaat (relationship problems)
    Mian biwi kay aapas kay ta'alluqaat joray ki jinsi zindagi per asar andaz hotey hain agar aap ki jinsi khwahish mein kami ho chuki hai magar aap doosrey logon ko dekh kar jinsi tor per mushta'el hoti hain, inko dekh kar romantic mehsoos karti hain  to aap kay masley ki wajah ba'hmi ta'alluqaat ki kharabi hai. Dil mein ek doosrey kay khilaf ghussa, ek doosrey per ilzam tarashi waghaera bharpoor jinsi ta'alluqaat mein bohut bari rukawat hain, thori bohut tuu takar to har ghar mein hoti hai magar jab yeh zyada ho jaey ya mustaqil surat ikhtiyar kar ley to phir iss tarah kay masa'el paeda ho jatey hain.
  8. Jinsi Adum Itmenan (lack of sexual satisfaction)
    Agar aap jinsi tor per apney khawand sey khush  nahin to aap ki jinsi khwahish mein kami ki wajah yehi adum itmenan hai. Humeray haan khawateen ki jinsi khwahish mein kami ki sab sey bari wajah aurat ka jinsi adum itmenan hai. Jinsi itmenan hasil karney  kay chund makhsoos tareqey hain agar khawand inn sey aagaah ho to adum itmenan ka masla paeda nahin hota. Humaray haan mard aur aurat donon inn tareeqon sey aagaah nahin jis ki wajah sey na khawand biwi ko mutma'en kar pata hai aur na biwi khud apney aap ko sukoon dey sakti hai.

Jinsi Sardmehri

 iss surat mein agar aap ney bharpoor koshish na ki to phir shayad kabhi mubashrat na ho sakey.
Jab bhi koi cheez jinsi lazzat kay liye faraj mein dakhil ki jaey gi to aurat per ghusl e janabat lazim ho jaega. Agar jinsi lazzat kay baghaer elaj waghaera kay liye koi cheez maslan ungli faraj mein daakhil ki jaegi to ghusl wajib na hoga magar ba'az fuqha'a ki ra'ey mein jab bhi koi cheez faraj mein daakhil ki jaegi uska maqsad jinsi lazzat ho ya elaj, ghusl zarori ho jata hai ehtiyaat ka taqaza yehi hai kay iss mushq kay ba'ad ghusl kar liya jaey.  

Jinsi Sardmehri
(Frigidity)
    Khwateen kay jinsi lutf mein sab sey bari rukawat jinsi sardmehri hai iss beemari mein aurat jinsi ishte'aal sey awwal to jinsi lutf hasil nahin kar pati ya bohut hi ma'amooli lutf mehsoos karti hai aisi aurtein orgasm hasil nahin kartiin jinsi sardmehri mein aurat na sirf jinsi lutf kay ehsaasaat mehsoos nahin karti bul kay jismani jinsi ishte'aal sey uski faraj mein chiknahat bhi nahin hoti bohut hi ma'amooli aur bara'ey naam chiknahat hoti hai isey jinsi bey hisi bhi kehtey hain Jinsi sardmehri ki do aqsaam hai.

Frigidity In Women - Treatment

  1. Ibteda'ee Sardmehri (iss mein aurat ney kabhi jinsi lutf hasil nahin kya hota)
  2. Saanvi Sardmehri (iss mein aurat ba'az auqaat jinsi ishte'aal sey kuch jinsi lazzat mehsoos karti hai aur ba'az khawateen sirf kisi khaas mahol mein jinsi ishte'aal sey jinsi lutf mehsoos karti hain)
Jinsi Sardmehri - Elaj (Frgidity Treatment)

   
Jinsi sardmehri ki wajah amooman nafsiyati hoti hai chuna'ncha iss kay liye tajziyati nafsiyati elaj ki zaroorat hoti hai magar nafsiyati elaj sey pehley mandarja zael per amal kar kay iss masley ko hal karney ki koshish ki ja sakti hai . Bohut si khawateen iss sey faeda utha leti hain

Jinsi Ehsasaat Per Tawajjuh Markooz Karney Ki Mushq

    Sab sey pehley jora kuch arsey kay liye mubashrat aur orgasm kay husool ki koshish tark kar dey, iss ki bajaey apni saari tawajjuh jinsi sargarmi maslan ek doosrey kay jism ko chuney, sehlaney, thapthapaney, bos o kinar (kissing), galey laganey aur baghal geer honay tak mehdood kardey iss amal mein pehley aurat khawand kay jism ko chuti, sehlati, thapthapati aur bos o kinar (kissing) waghaera karti hai iss kay ba'ad yehi amal khawand dohrata hai iss doran aap ney apni sari tawajjuh jinsi ehsaasaat per markooz karni hai aksar auqaat iss mushq kay masbat asraat dramaee tor per zahir hotey hain amooman aurat jald hi jinsi lutf mehsoos karney lagti hai aur iss tarah pehli bar jinsi lutf hasil karleti hai aurat iss doran apni sari tawajjah chuney aur doosri sargarmiyon kay ehsaasat per markooz karey

jinsi taleem


jinsi- Mubashrat
Mubashrat (intercourse) :
Mubashrat (intercourse) shadi ki buniyad hai magar budqismati sey humarey yahan laa ilmi ki wajah sey aksar log iss silsiley mein ziyada malomaat nahi rakhtey hain. Mardon ki aksaryat to mubashrat (intercourse) kay exact maqam sey bhi aagah nahi. Inhein sirf andaza hai magar woh vagina ki asal location sey waqif nahi. Aap ko yeh jaan kay hairat hogi kay bohut sey shadi shuda mard bhi iss kay asal maqam sey aagah nahi, woh sirf andazey sey mubashrat (intercourse) kartey hain. Issi liye ba'az auqat laa ilmi ki wajah sey mian dakhool ki koshish mein dakhool sey pehley hi discharge ho jatey hain. Jis ki wajah sey unko shadeed sharmindagi uthana parti hai aur biwi jismani aur zehni aziyat ka shikar ho jati hai. Chunancha mian kay liye zaroori hai kay woh shadi kay shuru kay dino mein hi apni biwi kay aaza-e-makhsoosa (genitals) khaas tor per faraj (vagina) kay asal maqam sey puri tarhan aagah hojaey.
Islam mein shadi kay baad biwi kay saath mubashrat (intercourse) naeki aur sadqa hai, jiska mian biwi ko sawab milta hai yeh koi buri yeh naa pasandeeda cheez nahi hai. Hazrat Muhammad(P.B.U.H) nay farmaya kay apni biwi sey ham-bistari (mubashrat) karnaa sadqa hai. Sahaba e karam ney kaha kay hum to apni shahoot puri kartey hain phir iss mein humarey liye ajar aur sawab kaisey?


Chapter - 2
Mardana Quwwat Mein Izafa
(Enhancing Sex Power)
Duniya mein har fard mardanaa quwwat mein izafa chata hai. Hakeem iss hawaley sey khususi course use karney ki sifarish kartey hain. Jis ki koi haqeeqat nahi. Mardana quwwat kay liye achi zehni aur jismani sehat zaroori hai. Iss tarhan achi zehni aur jismani sehat kay liye bhar poor sex ki zaroorat hai. Agar fard zehni aur jismani lehaz sey sehat mand ho to woh last time tak jinsi amal kay qabil hota hai. Achi jinsi sehat kay liye aap ko shaori koshish karna hogi. Bharpoor jinsi sehat aur sex power (mardana quwwat) kay liye mandarjazail baaton per amal karein.
  1. Khooraak
Hamesha mutawazin aur kam khoorak khaya karein. Allah Ta'ala kay Nabi Hazrat Muhammad (P.B.U.H) ka irshad hai kay kabhi paet bhar kar khanaa naa khaya jaey. Khoorak kam chiknaa (Low Fat) wali ho. Amoomi sehat kay liye taza vegetables aur fruits mufeed hain. Balaee nikla milk aur mukammal eggs kay bajaey sirf iss ki safaidi li jaey. Gosht mein chicken ziyada mufeed hai. Iss kay elawa vitamin C, D aur E ka baqaida use kiya jaey. Cholestrol aur Friglyceride ko barhney naa dein.
Humarey yahan Allah Ta'ala kay Nabi Hazrat Muhammad (P.B.U.H) kay saath ek baat mansoob hai ka Hazrat Jibrail Hazrat Muhammad (P.B.U.H) ko mardanaa quwwat mein izafai kay liye jannat sey hareesa la kar diya tha jis sey aap ki sex power (mardana quwwat) mein bohut ezafa hogaya.

Sexual Desire In Women - Women And Sex

woh apka nafsiyati analysis karney kay baad aap kay iss masley ko hal karey kyun kay yeh ek nafsiyati masla hai. Jinsi khwahish (libido) aur jinsi amal ek fitri process hai aur agar biwi jinsi amal mein active kirdar ada karey to azdawaji zindagi bey hudd khushgawar ho jati hai. (Hyde) 

Mard Inn Aurton Ko Pasand Nahi Kartey Jo Sex Ko Pasand Karti Hain?
    Khawateen kay zehen mein kisi na kisi tarhan yeh baat bitha di gaee hai ya beth gaee hai kay mard inn aurton ki izzat nahi kartey ya unko pasand nahi kartey jo sex ko pasand karti hain. Yeh baat na sirf mashriq mein bul kay maghrib mein bhi mashhoor hai. Iss baat ki koi haqeeqat nahi kyun kay mard aisi aurton kay sath zyada comfortable feel kartey hain aur unko pasand kartey hain jo sex mein dilchaspi leti hain. (Angelis)
Aurat Mein Mard Sey 8 Guna Zyada Shahoot? (Sexual Desire In Women)
    Yeh baat bar bar suni jati hai kay aurton mein jinsi khwahish (sexual desire) mardon sey 8 guna zyada hoti hai. Aurat mein chahey janey ki khwahish bila mubalgha bohut hai magar jahan tak jinsi khwahish (libido) ka ta'alluq hai woh mard sey zyada nahi. Kuch researchers ka khayal hai kay iss lehaz sey mard aur aurat donon baraber hain aur kuch ka khayal hai kay mardon mein yeh khwahish thori si zyada hai. Darasal aurat mein mohabbat ki khwahish zyada hai jab kay mard mein mubashrat (Intercourse) ki. 'Woman wants to talk man wants to do'. Lehaza science kay mutabiq yeh baat bilkul ghalat hai kay aurat mein jinsi jazbat mard sey 8 guna zyada hain. (Zakir: Hyde)

Sex Is Sin - Sex Ek Gandi Cheez

Sex Ek Gandi Cheez …? (Sex Is Sin) 
    Puri duniya mein sex ko ek gandi aur na pasandeeda cheez samjha jata hai. (Dastoor) Isliye khawateen kay bohut sey jinsi masail ki bari wajah yehi ghalat tasawwur hai. Islam mein baghaer nikah kay jinsi amal na sirf buri aur gandi cheez hai bul kay bohut bara gunah (sin) hai. Jab kay nikah kay baad jinsi amal na sirf gandi cheez nahi bul kay ek pasandeeda amal hai. Jisko Allah kay nabi Hazrat Mohammad (P.B.U.H) ney sadqa aur naeki qarar diya hai. Nikah kay baad jinsi amal mein shareek ho kar husband wife donon ajar aur sawab kay mustahiq ho jatey hain.
Kya Aurat Sex Ko Pasand Nahi Karti? 
    Logon mein ek aam khayal yeh bhi paya jata hai kay aurtein sex ko zyada pasand nahi kartiin. Iss khayal ki ek bari wajah yeh hai kay mubashrat (Intercourse) kay doran khawateen active kay bajaey passive role ada karti hain. Yani foreplay aur mubashrat (Intercourse) kay doran aurtein amooman khamosh leti rehti hain. Zinda lash ki tarhan, iss doran jo karna hai mard ney karna hai. Khawateen khwahish kay bawajood mubashrat (Intercourse) mein sexually active kirdar ada nahi kartiin. Issi tarhan hamarey yahan aurat amooman pehel nahi karti. Doosrey mafroozon ki tarhan yeh bhi ek ghalat mafrooza hai. Kyun kay mard aur aurat donon hi sex ko pasand kartey hain. Donon mubashrat (Intercourse) kay khwahishmand hain lekin mashriqi sharm o haya aur ilm ki kami ki wajah sey woh mubashrat (Intercourse) mein active role play nahi karti. Agar aap ko waqaee sex na pasand hai ya iss sey nafrat hai to foran kisi mahir e nafsiyat sey raabta karein ta kay

Frequent Intercourse - Kasrat e Mubashrat

Kasrat e Mubashrat Aurton Kay Liye Nuqsandeh Hai? 

(Frequent Intercourse Is Harmful)
    26 year old unmarried Noreen ney mujhey phone kya uski jald shaadi honay wali thee. Uska honay wala husband iss ka aashiq bhi tha. Iss kay husband ney iss ko kaha kay shadi kay baad woh iss kay sath bohut zyada mubashrat (Intercourse) karey ga. Noreen pareshan thee kay mubashrat (Intercourse) zyada karney sey iss ko koi nuqsan to nahi pohonch jaey ga. Mubashrat (Intercourse) husband aur wife kay liye Allah ki taraf sey ek atiya hai. Yeh kitna bhi kyun na kya jaey iss ka koi nuqsan nahi. Mubashrat (Intercourse) buniyadi tor per sukoon ka sabab hai aur zyada sukoon kabhi bhi nuqsan ka sabab nahi hota. Latest research sey maloom hua hai kay zyada mubashrat (Intercourse) azdawaji zindagi ko zyada purlutf banati hai, jis sey na sirf aurat ki sehat achi hoti hai, age bhi lambi hoti hai bul kay iss ki dard ko bardasht karney ki salahiyat mein bhi izafa hota hai. (Mobeen: Time: Hyde)
Choti Umer Ki Shadi Aurat Ki Sehat Ko Muta'assir Karti Hai? 
    Kuch logon ka khayal hai kay agar larki ki shaadi choti age mein kar di jaey to iss ki sehat kharab ho jaey gi. Yeh baat ghalat bhi hai aur durust bhi. Yani jab aurat hamla (pregnant) hoti hai to iss doran isey apney liye aur bachey kay liye khoorak ki zaroorat hoti hai. Yani ek kay bajaey 2 afrad kay liye khoorak. Ab agar donon ko achi khoorak milti hai to aurat ki sehat per kisi tarhan kay burey asraat nahi partey.  Issi tarhan bachey ki paedaesh kay baad bachey ko milk pilaney ki soorat mein bhi aurat ko achi aur behter khoorak ki zaroorat hai. Agar isey achi khoorak hasil hai to phir iss ki sehat muta'assir nahi hoti lekin agar 

Frigidity In Women - Khawateen Mein Sardmehri

Sardmehri (Frigidity In Women)
    Sardmehri mein aurat mein na sirf jinsi jazbat nahi hotey bul kay woh jinsi amal sey koi raghbat nahi rakhti. Aisi aurtein orgasm yani jinsi urooj hasil nahi kartiin. Aisi kuch aurtein mukammal sardmehri ka shikar hoti hain aur kuch nisbatan kam. Agarcha inn aurton mein jinsi khwahish (libido) aur raghbat aam aurton sey kam hoti hai. Taham yeh mubashrat (Intercourse) per aamada ho jaein to yeh orgasm hasil kar leti hain. Frigidity ki jismani wajah bohut kam hoti hai maslan mubashrat mein pain (Painful Intercourse). Dhaka hua bazer (Clitoris) ya vagina mein infection waghaera. Iss ki bari wajah nafsiyati hoti hai maslan mubashrat (Intercourse) ka khauf, pregnancy ka khatra, ahsas e gunah aur bachpan mein sexual abuse waghaera.
Menopause 
    Menopause sey murad woh daur hai jab aurat ki mahwaari (menses) band ho jati hai aur woh bacha paeda karney kay qabil nahi rehti. Bohut si aurtein iss mein jismani, nafsiyati aur jinsi lehaz sey bilkul normal zindagi guzarti hain. Usually last mahwaari (menses) mein 12 month kay baad 50 saala aurat banjh ho jati hai aur aulad paeda nahi kar sakti. Lekin ab aisi technology mojood hai jis ki wajah sey aurat iss kay baad bhi pregnant ho sakti hai. Magar aurton ki ek big tadaad 90% menopause mein apney jism aur personality mein bohut sey changes mehsoos karti hain. Menopause ki sab sey bari alamat garmi ka ehsas, hot flashes hain. Iss mein aurat kay jism mein garmi ki ek lehar dorr jati hai. Garmi ka ahsas sab sey pehley chest mein hota hai phir gardan aur face mein.

Leucorrhea Treatment

 Neem hakeem leucorrhea ko bohut khatarnak beemari qarar detey hain jab kay yeh koi beemari nahi aur na hi khatarnak hai. Iss ki wajah usually kharab sehat, constipation aur khoon ki kami waghaera hoti hai. Iss discharge ki wajah sey ghusl farz nahi hota aur na hi iss sey kaprey napak hotey hain. Iss doran apney khas organ ko saaf rakhein. Wuzu karein aur namaz parhein. 
    Agarcha leucorrhea koi beemari nahi magar phir bhi neem hakeem apni jehalat ki wajah sey iss kay bohut sey nuqsanat ka zikar kartey hain. Maslan iss sey kamar mein dard hota hai. Legs heavy mehsoos hotey hain. Tabiyat sust aur kahil ho jati hai aur kamzori bohut hoti hai. Jab tak yeh marz rahey pregnancy nahi hoti. Shadeed case mein halat bigarr jati hai. Face ka colour yellow ho jata hai. Hazma kharab rehta hai. Hand and legs thandey ho jatey hain. Thori si mushaqqat sey breath zyada hojati hai. Dil dhar dhar karney lagta hai aur mahwaari (menses) mein bhi disturbance ho jati hai. Homeo doctor Ali Asghar choudhary apni book mein likhtey hain kay "kamar mein dard, legs mein pain, headache, badan mein kamzori hojati hai. Zyada der tak yeh marz qaim rahey to sehat ka diwaliya nikal deta hai aur aurat chalti phirti lash ban kar zindagi sey bezaar ho jati hai." Yeh sab kuch 100% ghalat aur jehalat hai. Iss mein koi haqeeqat nahi.


Jismani Nafsiyati Tabdeeliyan

Menopause Symptoms - Jismani Nafsiyati Tabdeeliyan

 Face red ho jata hai. Garmi ka yeh ahsas jism kay doosrey parts mein bhi phael sakta hai. Iss kay sath itching ka ahsas bhi hota hai, paseena aa jata hai aur phir thandak ka ahsas. Hot flashes chund seconds sey 30 minute tak reh saktey hain aur din mein kaee baar aisa ho sakta hai. America ki ek research kay mutabiq 60% aurton ney hot flashes feel karey. London ki ek research mein 50% aurton ney hot flashes mehsoos karey aur inn mein sey 50% ney zyada uncomfortable feel kya. Iss kay elawa menopause mein khawateen mein following symptoms paey jatey hain. Chakkar, headache, thakawat, neend na aana, dil ki taez dharkan, dam ghutna aur itching. Khaas tor per khas organs mein. Taham inn symptoms ka menopause kay sath directly koi ta'alluq nahi hai.
    Menopause ki barri wajah female jinsi hormone estrogen ki production ki kami hai. Iss kami ki wajah sey pistaan (Breast) flat aur loose ho jatey hain. Uterus aur ovaries shrink ho jati hain. Vagina dry ho jati hai. Iss ki walls thin ho jati hain jiski wajah sey aurat ko mubashrat (Intercourse) mein takleef hoti hai. Yeh takleef external lubrication waghaera sey door ki ja sakti hai. 
    Menopause mein jismani tabdeelion kay elawa bohut si nafsiyati tabdeeliyan bhi hoti hain. Maslan bezari, chirchirra pan, bhool jana, beychaeni, anxiety, udaasi, depression aur old age ka khauf waghaera magar yeh saari tabdeeliyan ahista ahista khatam hojati hain.